meri SMS Messages1831 messages

Suno Ge To Ro De ge Yeh meri Kahani Hai
Kyun Bataon Anjam-e-Ulfat Yeh meri Kahani Hai
Halat Jo bhi Hon Hum Usey Chahain Ge
Kyun Likhon Bura Usko Ye meri Kahani hai
Dard mujhe hai to wo Bhi To Beqarar hoga
Mein Hon Bechain To Wo Bhi Bimaar hoga
Ise Pagal Pan Samjho Yaa Dewangi meri
Kyun Likhon Usey Khud Se Juda Yeh meri Kahani hai
Raton ko Kerwatain Badalna Mera Nishani Hai Mohabbat Ki
Wo Bhi Ginta Hoga Tare qasam KHUDA ki
Mohabbat Badnam hai Iss Liye Mujh Pe Yeh Ilzam Hai
Kyun Likhon Usey Herjai Ye meri Kahani Hai
Hasret Se Dekhna Tasveeron Ko Uski Ajab Nahi
WO Bhi Chahti hai mujhe iss mein tajub nahi
Raahain Juda Hain To Kia Hua Manzil Ek Hai
Kyun na Likhon "Kaash" Hamsafer Usey Apna Ye meri kahani Hai
Mujhe Ehsas-E-Ulfat Tum Inyat Kyun Nahi KErte?
meri Izzat To Kerte Ho Mohabbat Kyun Nahi Kerte?
Ye Sare Log Kehte Hain K Tum Chanchal Tabiyat Ho
Magar Tum Samne Mere Sharat Kyun Nahi Kerte?
Jo APni Guftugu Mein Phool Tum Takseem Kerte Ho
Kabhi Inn Pholon ki Mujh Per Shakhawat Kyun Nahi Kerte?
Kat ti naheen hay gham ki raat
A k thair gayi hay kiya
Nind to khair so gayi
Mout bhi mar gayi hay kiya

Jalte hain armaan
Mera dil rota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay

Koun mere tuute dil ki
Faryaad sune
Aaj meri taqdeer ka
Maalik sota hay

Ayi asi moj k
Sahil chuut gaya
Warna apni kashti
Koun dubota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay

Kia Uski Jagti AAnkhon Mein
meri Yaad Se Pehli Udaasi Hai
Kia Wo bhi meri Tarah Younhi
SHab Bher Jaga Kerta Hai
Kia WO b Saat-e-Rehmat Mein
Humain Rab Se Manga Kerta Hai
Agar Aesa nahi To Tuhi Bata
Ham Yaad Usey Kyun Kerte Hain
Wo Ham Ko Bhool Ker Khush Hai Agar
To hum Pal Pal Unke Liye Q Merte Hain
Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say
Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say
Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say
Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say
meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say
Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!
*zindagi mein abtak aapka nishaan baki hai,,
aankhon mein na sahi..baaton mein na sahi
dil me...aapka ishq-e-naadaan baki hai*

*iss barbaad mehfil mein raunak bahut hai,,
na dard ki kami,
na nashe ki kami,
khaali hi sahi...par jaam baaki hai*

*meri naakaam mohabatt ka silsila ha yahi,,,
na hai umeedain..na hi saansen
iss pinjar-e-viraan mein abtak jaan baki hai*
Iska Socha bhi na tha ab k jo tanha guzri
Wo qayamat hee gahnimat thi jo yakja guzri
Aa gale laga lon mere pyare dushman
Ek meri baat nahi tujh pe bhi kia kia guzri
Mein to sehra ki Tapish Tashna Labi bhool gaya
Jo Mere Ham-Nafson per lab-e-derya guzri
aaj kia dekh k bher aai hain teri aankhain
ham per yeh ghari hamesha guzri
meri Tanha safri Mera Muqadar Thi "Kaash"
Werna Iss Shehr-e-Tamana se to Dunia Guzri

Ye Dunya Hy Yahan Pe
Ye Tamasha Ho Bhi Skta Hy

Abhi Jo Gham Humara Hy
Tumhara Ho Bhi Skta Hy

Tum Apne Aap Ko Hargiz
Ilzaam Mat Dena

Ye Sauda Hy Mohabbat Ka
Khasara Ho Bhi Sakta Hy

Na Ye Samjho K Tum Hi
Aakhri meri Mohabbat Ho

Mohabbat Jurm Hy Hum Se
Dobara Ho Bhi Skta Hy
Usey ye shouq hai mohabbat ki bheek mein mangoon
meri ye zid k taqaza mera usool nahi
usey ye shouq k uski sari zidain hon poori
meri ye zid k ruswai mujhe qabool nahi
usey ye shouq k saari chahat usey doon aur wo lota de
meri ye zid k meri chahat itni bhi fazool nahi
usey ye shouq k kante na lagain haathon mein
meri ye zid k qismat mein sirf phool nahi
usey ye shouq k hans k sahon sari takleefain
meri ye zid k mera pyar koi urti hui dhool nahi
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad
Usko B Humse Wesi Hi Mohbat Ho To Kya Bat Hy
Ek C Dono Ki Halat Ho To Kya Baat Hy
Dil Ki Chaht To Khwab Jaga Deti Hy
Han Mgr Sath Qismt B Ho To Kya Baat Hy
meri Tnhaiyan Krti Hyn Jinhen Yaad
Sada Unko B meri Zarurt Ho To Kya Bat Hy
Nend To Dard K Bster Pe Aa Skti Hy
Unki Aagosh Me Sir Ho To Kya Baat Hy
Woh Shaks Ab Yaad Aa Raha Hai Mujh Ko
Jo Khud Ko Pamistry Ka Maahir Batata Thaa
Phir Ussi Ne Ek Din meri Hatheli Ki
Aarhi Tirchee Lakeerain Dekhee Theen
Us Ka Jumla Hai Yaad Ab Tak
Ke Teri Fitrat Mein Hi Wafa Hai
Wafa Ki Khaatir Tu Jaan Degi
Magar Mein Yeh Bhi Jaanta Hon
Teri Wafa Ko Shikast Hogi…