mere muqaddar SMS Messages6 messages

mujh se mat pooch kyun aankhen jhookali maine
teri tasveer thi jo tujh se chupali maine
mere muqaddar main jo likha tha ke tu mere naseeb main nahi
apne mathe ki woh tehreer mitaali maine
zindagi main yahan har kisi ko sacha pyar kahan milta hai
kisi ki wafaanon par likhi ek nazm uthali maine
gheri rehti hain din raat teri yaadein
in yaadon ke sahare zindagi saajali maine
jin ke sheron ko sun kar bahut roya karta tha
bas wohi ek baat sab se chupali maine
kaash.......................
ae kaash k ye chahat mere bas ki baat hoti.,
to zindagi mein kisi namumkin khawish ki jagah na hoti....
tujse mili to khud ko zindagi se rubaru paya...
ae kash k ye kashish do tarfa hoti.......
khusnasib hain jo mohabbat se nawaze gae..........
ae kaash k mere muqaddar mein b wo ek lakeer hoti....
tu mile aur mere do jahan muqammal ho........
ae kaash k tere aasman ki zarurat meri zamin hoti...
izhaare mohabt shabdon ki mohtaaj nahi...........
ae kaash k alfaaz se zyada ehmiyat tune ehsaas ko di hoti.....
main baawri hun jo sapne mein haqiqat ko talashti hun.....
AE KAASH K MACHHLI AUR PANCHHI KI REHGUZAR EK HOTI.............
AE KAASH.............
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,

Teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,

Jis pe likha tha ki tu mere muqaddar me nahi,

Apne maathe ki woh tehreer mita li maine ......;->
Ab Ki Bar Khud usey azad Kr K Dekta Hon
Mujse Juda Ho Kr Wo Kidhar Jata Hai
mere muqaddar Mein Hai Jane Aisa Kya
Jis Shaks Ko B Chahta Hon Wo Bichar Jata
duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaaNd taaron kaa aaNchal usii kaa hissaa hai
koii jo duusaraa oDhe to duusaraa hii lage

nahiin hai mere muqaddar men raushanii na sahii
ye khiDakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke hansataa hai
main chaahataa huuN Khafaa ho to vo Khafaa hii lage
''Chalo dekhen faraz naya saal mere muqaddar me kya laya hai,
pichle saal kamino ne mera bohot record lagaya hai,
shair koi bhi ho naam mera lagaya hai,
kambakhaton ko na taras mere naam pe aya hai,
ab to koi apne bachay ka naam faraz nahi rakhe ga,
sunne me to ye ailan bhi aya hai,
dusre mulk walon ko bhi hairan karwaya hai,
faraz kon sa ajooba hai or pakistanio ne kahan se paya hai,
Itna mashoor to kisi ka baap bhi na tha,
star nahi kamino ne mujhe superstar banaya hai"''