Nighahen raasta dekhain tumhara 
lot aao na,
tumharey bina nahi hota guzara 
lot aao na,
bichar k yar tujh se zindagi pal pal tarapti hey,
k tum bin ab nahi jeena gawara 
lot aao na,
mujhey dar hai k in tanha'aeyon mey toot jaoon na,
hey bus teri mohabat ka sahara 
lot aao na,
tum he to zindagi ho piyar ho dunya hamari ho,
siwa terey nahi koi hamara 
lot aao na.