kismat SMS Messages80 messages

SHKAYAT HAI YEH MERI kismat SE MUJHKO ..

MILAYA HI KYUN JAB BICHARNA THA TUJHKO ...

JOH ISMEH NAH SAMAJH SAKAY AZAKE KOI TUJH KO...

IS PATHAR KI DUNIYAAN SE NAFRAT HAI MUJHKO ...
kismat Ke Maaro Se Pyaar Kiya Nahi Karte,

Darr Darr Ke Hum Kabhi Jiya Nahi Karte,

Dil Tutne Ka Darr Unko Hoga,

Jo Bichadne Ke Darr Se Pyaar Kiya Nahi Karte..
Pyar Ki Kali Sab Ke Liye Khilti Nahi,

Chah Kar Bhi Har Ek Cheez Milti Nahi.

Sacha Pyar kismat Se Milta Hai,

Par Har 1 Ko Aisi kismat Milti Nahi.
Koi Na Mile To kismat Se Gila Nhi Krte,

Aksr Log Mil Kr Bi Mila Nhi Krte.

Hr Shakh Pr Bahar Aati He Zarur,

Pr Hr Shaakh Pr Phool Khila Nhi Krte
Be-Rabt Si Tehreer Ibaarat Nahi Hoti,

Hathon Ki Lakiron Me To kismat Nahi Hoti.

Sajday Me Dikhawa Ho,To Sajda Nahi Hota.!

Gardan K, Jhukane Se Ebaadat Nahi Hoti.

Wo Shakhs Mohabbat Se Humesha Raha Mehroom..

Auron K, Liye Jis me Mohabbat Nahi Hoti.

Chehre Ka Singhaar Kabhi
Kaam Na Aaya.

Seerat K, Bina Koi Bhi Surat Nahi Hoti.

Shahkaar Ki Takmeel Main Shamill Na Ho
Gar Fiker.

Tasveer To Ban Jati Hai Moorat Nahi Hoti.
Kat ti naheen hay gham ki raat
A k thair gayi hay kiya
Nind to khair so gayi
Mout bhi mar gayi hay kiya

Jalte hain armaan
Mera dil rota hay
kismat ka dastoor
Nirala hota hay

Koun mere tuute dil ki
Faryaad sune
Aaj meri taqdeer ka
Maalik sota hay

Ayi asi moj k
Sahil chuut gaya
Warna apni kashti
Koun dubota hay
kismat ka dastoor
Nirala hota hay
kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hy...


agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hy...?
Kash Ho Aisa Jab Bhi Mujhko Chahat Ho Teri
Dil Mange Tera Saath Aur Mujhko Ijajat Ho Teri

Yaad Karta Hai Dil Phir Bhi Kabhi Chaha Nahi
Din Nikalta Rahe, Har Din Mujhe Jarurat Ho Teri

Maine Chaha Hai Bas Itna Hi, Apni kismat Se
Ki Jab Tak Jiyun Main, Dil Main Mahobat Ho Teri

Rooh Mitti Nahi Par, Janti Hun Shareer Nashvar Hai
Jahan Lun Aakhri Saansein Vahin Aahat Ho Teri
Apny MuQaddar Ka To Mil Hi Jaye Ga Ae Khuda,

Wo Cheez Ataa Kar Jo kismat Mein Na Ho...
kab tak rotey raho gay apni kismat per dost.

yahan tu phool be rukh badal letey hain aksar shaam k bad.
mai ne jo poocha kismat ka haal.
aankhon se ansson ki do bondain gira dain.
mai ne jo pucha baraish ki wajha.
maathe se paseene ki chand bondain gira dain.
mai ne jo puch husan ka raaz.
jub hi chahre pe do zulfain gira dain.
main jo pucha kayamat ka haal.
palkain utha kar palkain gira dain.
In ungaliyoun Ka Lams tha Aur meri zulf the

Gaisoo Bikhar rahey they to kismat sanwar Gayi. . . . . . !