kash SMS Messages256 messages

Apki wife apni Rukhsati Sey 2 Ghantay Pehley Kya Mehsoos Karen gi?
Select A Number Then I''ll Tell U..
1
2
3
4
5
6
7
8
9
10. . . ;->
replY... =P
Answers :

1: Allah Jaldi Rukhsati Ho

2: Me to tang agae hun itna Bhari Lehenga

3: kash me ami abu k sath rhti

4: Pta nai kia ho ga aj rat

5: Aj to meri kher nai

6: Me ne nai rona make up khrab hoga

7: Hansi a rhe hy

8: Allah kre movie achi aye

9: Akhir mere dil ki murad puri ho he gae

10: Rona a rha hy ;->
Today''s Most Needed Thought

Jab Hamara Deen 1
Allah 1
Rasool (S.A.W)1
Quran 1
Kaa''ba 1
To Phir Ham Firka Paristi Ki Aag Main Q Jal Rahe Hay.
.Kuch Shar Pasand Log Hamare Shehar Aur Mulk Me Fasad Kar Wa Rhe He. Kb Tak Pathan, Muhajir, Sindhi, Balochi, Punjabi, kashmiri, Saraiki Aur Dosri Cast Ki Waja Se Apas Me Nafrat Rakhe Ge...
Allah Ka Farman Hay Jisne Aek Insan Ki Jan Li To Osne Puri Insaniyat Ki Jan Li.
Plz Shar Pasand Anasir Se Bachye Aur Apna Aur Apne Azizo Ka Khayal Rakhye.
kash usk ru baro na karen mujko hashar main.

kitne meray sawal hen jin ka nahi jawab hai.
Aankho mein aansoo aye na hote .
Agar wo peeche se muskuraye na hote.
Unke judai ke baad ye gam hota hai ki.
kash wo jindgi mein aye na hote
Nikal aate hai aansoo rone se pehle...

Toot jate hai sare khwab sone se pehle...

Kehte hai k pyar ek saza hai...

kash koi rokta mujhe pyar hone se pehle....
Chale Wo

Qadam Qadam

Jo Sath Mere...

To Us K Sath Se Pyar Ho Jaye...

Thame Jo Pyar Se Hath Mera...

To Apne Hath Se Pyar Ho Jaye...

Jis Raat Aye KhuabOOn Mai Wo...

Us Suhani Raat Se Pyar Ho Jaye...

Jis Baat Mai Aye Zikar Us Ka...

To Usi Baat Se Pyar Ho Jaye...

Jab Pukare Pyar Se Naam Mera...

To Apne Hi Naam Se Pyar Ho Jaye...

Hota Hai Itna Khubsurat Ye Pyar Agar...

To kashUseY B Mere Pyar Se PyarHo Jaye...
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.
zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagoo
masroof main bhi kam thaa faragat use bhi thi

sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyaan
taza rafaqaton ki zaroorat use bhi thi

mujh se bichar ke shaher main ghul mil gaya vo shaKhs
haalaa ke shahar bhar se raqabat use bhi thi

"kash"na jan khud ko nakaam kay bad zouq,
woh mana nahi par tujh say mohabbat usay bhi thi,

vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
varna har ek saans qayamat use bhi thi
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey
dil ke daryaa mein utar ke dekho
tum mohabbat mujh se kar ke dekho

phir tumhein meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichaR ke dekho

ishq ka saaghar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahon se guzar ke dekho

kya asar hota hai berukhii ka?
meri chaahat se mukar ke dekho

jo mohabbat ne hai dekha,tum bhii
uski aankhon meiN sanwar ke dekho
aankho me raha dil me utar kar nahi dekha,
kashti ke musafir ne samander nahi dekha,
yaaro ki yaari ka yakine kar liya maine,
unki baaho me chhupa khanjar nahi dekha.
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha

Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha


Puhunch Rahi Thi Kinare Pe kashti-E-Umeed

Usi Waqt Is Tufaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha