janoon SMS Messages7 messages

WOH MUJH SEY YEH NAHIN KEHTA USEY MUJH SEY MOHABBAT HAI
MAGER WOH AAJ KAL AIK janoon KI ZID MAIN REHTA HAI
AJAB AIK BEKHUDI HAI, JO USEY BECHAIN RAKHTI HAI
WOH MUJH SEY BAAT KARTA HAI....
BOHAT HI AAM SI, MOSAM KI,
LOGON KI MEHAZ DUNIYA KI RASMMI SI
SAMJHTA HAI MAIN US KI AAM SI BATON KO BUSS "YUNHI" SAMJHTI HOON
WOH JAB TUK PAA NAHIN LETA SAMJH NAHIN LETA,
JAB TUK...!!! K MAIN BHI GAMZAN HOON KHAMOSHI SE US K RAASTEY PER
MAIN BHI JAGTI HOON...SOCHTI HOON RAAT BHER US KO
MAGER US SEY NAHIN KEHTI...!!! "MUJHEY US SE MOHABBAT HAI"
Asman pe raat ko moon
hota hai!


Ishiqe jab had se guzar jay tu janoon hota hai!


Jis awaz pe dil darke wo ap
ka fon hota hai!


Ap k sms se jan ko sakon hota hai.->?
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Ek haseen khwaab tha ki hakeekat kaise jaanon main,
Apni saanson mein teri khushboo ab tak pehchanoon main.

Tum is tarah mujhme samaayi thi ki jaise koi faasla na raha,
Sone do thodi der aur ab khud ko kyun aaj ab jagaoon main.

Kuch lamhe kaise beet gaye ehsaas na hua,
Apne badan se alag tujhe kyun pehchanoon main.

Teri zulfen mujhse aaj bhi lipat ke yun sawaal karti hain,
Tumhare paas bhi jawaab na hoga ye ab jaanoon main.

Kyun is tarah tumne mujhe jaane diya ye gawaara nahin mujhe,
Chupa ke rakh leti mujhe agar, tab teri diwaanagi ka kaha maanoon main.

Koi khushnaseeb pal yun guzra tha mujhe choo kar aise,
Ek ehsaas apni dhadkan mein aaj tak behta janoon main.
woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya

kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai

woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey

jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafaki talaash hai

magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya........;->
Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K
Rakh Dia Hai Uss Ne Mujhe Shehar Mein Ruswa Ker K
Wo Samjh Sakta Nahi Ishq-O-janoon Ki Batain
Mein Bata Sakta Nahi Un Ka Khulasa Ker K
Ain Mumkin Hai K Wo Iss Baat Pe Aamada Ho
Dekh Lete Hain Mohabbat Ka Taqaza Ker K
Ain Mumkin Hai Wo Nikal Aye Gahr Se Bahir
Dekh Lete Hain Naya Koi Tamasha Ker K
Wo Jo Aya To Aye Ga Lamha Bhar Ko
Lot jaye GA Koi Aur Bahana Ker K
"ARZOO"

ik arzoo hy qubool parwardigar kry.

mai dair se jaon wo mera intizar kry,

apny hathon se sanware zulf meri,

wo itra kr mohobt ka iqrar kry,

lipat jaye mujse aalm-e-madhoshi main,

aur josho janoon mai mohabat ka izhar kry,

ho shab wisal ki aise ya rab,

k choom k matha mujhe bedaar kry,

jb usy chor k chahon me jana,

vo roke ik aur rat ka israr kry,

qasam ''KHUDA" ki main kisi or ka ho nhe sakta,

ye wada-e-wafa vo bar bar kry...