Kadurat Ho To Sachi Baat Bhi Mani Nahi Jati
Ke Chashme Toor Tak Suraj Ki Tabaani Nahi Jati
Ab Itna Bhi na Apne ko Bigaro Bugze haider Me
Ke Khud Tumse Tumhari Shakl Hi Pehchani Nahi Jati
Khush na Hamse Dushman e haider Hua,Acha Hua
Dushman e haider Ka Hamse Dil Jala, Acha Hua
Hogaya Nazdeek Mujse Rab Mera Ayy Doston
FATIMA ke Dushmano Se Fasla, Acha Hua
Wafa ko naaz hai jis par usay Abbas(AS) kehte hein
Lagay jo Saani-e-haider(AS) usay Abbas(AS) kehte hein
Alam patthar pe jo gaaray usay kehte hein sab haider(AS)
Alam gaaray jo pani par usay Abbas(AS) kehte hein