faida SMS Messages34 messages

Pessenger :

Agr Sub Trains Late Hon To Time Table Ka Kya faida ?



Phatan :
Agr Sb Trains Waqt Per Hon To Waiting Room Ka Kya faida . .
;-P
,*, Kuch Anmol Batain Meri Diary Se ,*,
1. Aalim Se Ek Ghantay Ki Guftgoo 10 Baras K Mutalla Se Behtar Hai
2. Tehreer Ek Khamosh Zuban Hai Aur Qalam Haath Ki Zuban
3. Jhoot Bol K Jeetnay Se Behtar Hai Such Bol K Haar Jao
4. Waqt Se Pehle Kabhi Iraday Ka Izhaar Na Karo
5. Shikayat Na Karna Bhi Sabr Me Shamil Hai,
6. Khamoshi Be-faida Guftgoo Se Behtar Hai
7. Dunia Me Sab Se Mushkil Kaam Apni Islaah Hai Aur Sab Se Sehl Dusron Par Nukta Cheni Karna
8. Umda Cheez Ko Hasil Karna Koi Khoobi Nahi Balkay Usay Umda Tareeqay Se Istimal Karna Khoobi Hai
9. Khud Pasandi Sab Se Bari Tanhai Hai
10. Khamoshi Barh Jaye To Haibat Ban Jati Hai
Kehty hai agar kisi mulk ki awam

Imaandar Ho,
Zaheen Ho.

To..

Us mulk ka sadar or Vazeer-e-aazam bhi wesa hota hai,

Agar awam be-waqoof ho to,

Hukomat Us Awam ki bewakoofi se faida uthati hai,

Kya Hum Be-Waqoof Hai?
Pyaar karan da faida ta j dila bich khich hove, yaar chahe jinna door hove, Galla 2 te matlab ek hove, Lakh vajjan churiya seene , zakham 2 te dard ek hove
Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay

Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay

Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay

Mai Kia Hon, Kis Jagah Hon, Mujhay Kuch Khabar Nahi
Hain Aap Kitnay Duur Zara Sada Dijiye Mujhay

Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash''heer Jaa Baja
Mai Maanta Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhay

Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say faida
Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay

Jaltey Dinon Mei Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mei Laga Dijiyey Mujhay

Yun To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Likin Sulag Uthoon To Hawa dijiye Mujhay
mairee jaan theek kaihtee hoo
hamari is mohabbat ka bhala kya faida hoga
hamaray darmyaan ju doriyan hain
kum nahe hongi
kubhe barish kai mosam main
humaisha sath raihnay kee
ju khowahish dil main jagi thi
ju spnay humnay daikhay thy
wo sapnay tot jaeingay
mairee jaaan theek kaihte ho
moqader kai likhay ko he ager tasleem kerna hay
tu phir issi mohabbat ka
koi bhe faida kaisa?
mugar is ko ager chaho
tu mairee baybassi kaih lo
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
Lafzoon Ki Haira Pehri Main Kuch faida Nahi
Jab Dil He Rayga Hai To Kuch Rayga Nahi

Kehnay Ko Kitni Batain Hain Karnay K Wastay
Kuch Lafaz Ki Kami Hai Kuch Hoosla Nahi

Dayta Hai Baat Kar Kay Kuch is Tarhaan Zakham
Jaysay is Maseha Ka Koyee Chara Gar Nahi
Bettha Hai Aab Woh Mujh Say Baat Karnay Ko...
Jab In Tamam Batoon Ka Koyee faida Nahi
Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay
Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhay

Mere siwa bhi hai koi mozoo-e-guftugu
Apna bhi koi rang dikha dijiyey mujhay
Main kia hoon, kis jagah hoon, mujhay kuch khabar nahin
Hain aap kitni duur zara sada dijiyey mujhay

Ki main ne apne zakham ki tash''heer ja baja
Hum mantey hein jurm, saza dijiyey mujhay
Qaim to ho sakey koi rishta ap key saath
Gehre samandaroon main baha dijiyey mujhay

Shab bhar kiran kiran ko tarasnay se faida
Hai tairgi to aag laga dijiyey mujhay
Jaltey dinoon main khud pas-e-deewar baith kar
Saaye ki justuju main laga dijiyey mujhay
mein anderon mein bhi ujalon ke talab gar rahi
sesaktee...taraptee....bekarar rahi.
ab toh!!! anso bhi lahoo ke shaqal ekhteyar ker gay
jab weranon mein zoron ke barsat rahi
bujhtay charagon ko anchal say bacha ker
zindagi apnay RAB ke taraf say kuch udhar rahi
ab!!! mehfilon ko chornay say kia??? faida
*Anjan* mohabbat toh akhier phir bhi barbad rahi.
Wo Apne faiday Ki Khatir Phir A Mile Thay Humse

FARAZ

Hum Nad''an Samjhe K Hamari Dua''on Ka Asar Hai
Be-faida Hy Zeest Main
EhbaabKa Hujoom

Ho Pekar-e-Khuloos Tou
Kaafi Hy Ek Shaks !!!
mere sare khasare k badle ek to mil jay...

es me hi kitna faida tujhe kiya maloom....