chiragh SMS Messages17 messages

Zawal-E-Shab mein sitaron ne sath chor dia. . .
Hawa chali to chiraghon ne sath chor dia. . .
Mila jo moka muje un se baat karne ka …
Mera naseeb k lafzon ne sath chor dia. . .
Wo Ru-baroo tha magar usko dekhte kese ?
Wo Rang-O-Noor tha,Ankhon ne sath chor dia
matti ke jitne ghar main banata chala gaya
ik shaks khafa ho ke girata chala gaya
woh mujse buhat door door bhagta raha
jitna main uske naaz uthata chala gaya
ik mere waste he osne dard rakhe the
baki to wo har ik ko hasata chala gaya
thi haath main taqat magar dil nahin mana
uske siwa main subko harata chala gaya
dil main oski yaaad ke jitne chiragh the roshan
onko bhi wo sitmgar bhujata chala gaya

matti ke jitne ghar main banata chala gaya

ik shaks khafa ho ke girata chala gaya

woh mujse buhat door door bhagta raha

jitna main uske naaz uthata chala gaya

ik mere waste he osne dard rakhe the

baki to wo har ik ko hasata chala gaya

thi haath main taqat magar dil nahin mana

uske siwa main subko harata chala gaya

dil main oski yaaad ke jitne chiragh the roshan

onko bhi wo sitmgar bhujata chala gaya
Jab Tak chiragh Na Jaley Shaheedon Ke Laho Se..


Kehte Hain Ke Jannat Main chiraghan Nahi Hota.. !!


)~( HAPPY DEFENCE DAY )~(
Aashoor ko diye se hawa bool rahi ha,
bujh kar bhi tum main rooh e baqa bool rahi ha,
aawaz di chiragh e imamat k noor ney,
Imran k lahoo ki zia bool rhi ha
Kaisey kaisey haadsey sehtey rahey
Phir bhi hum jeetey rahey hanstey rahey

Uss key Aajaney ki yon umeedein lye
Rasta Murr Murr key hum taktey rahey

Waqt tu guzara magar kuch iss tarhan
hum chiraghon ki tarhan jaltey rahey

Kitney chehrey they humarey aas paas
Tum hi Tum dil mai magar bastey rahey



Kaisey kaisey haadsey sehtey rahey
Phir bhi hum jeetey rahey hanstey rahey
Kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
Kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
Khizaan ek bar phir agayee hai daikho to sahi

Kitni chahat say likhta thai mai naam tumhara
Wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

Itni asaani say to milti nahi nafrat bhi lekin
Tumne hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

Haanton mai tum ne apnay chupayay thay moti bohat
Ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi
US NAY PHOOL BHEJAY HAIN
US NAY PHOOL BHEJAY HAIN


us nay phool bhajay hain
phir meri ayadat ko
eik eik patti ma
un laboon ki narmi ha
un jamil hathoon ki
khushgawar hiddat ha
un latif saansoon ki
dilnawaz khushboo ha
dil ma phool khiltay hain
rooh ma chiraghan ha
zindagi mouattar ha
phir bhi dil ye kehta ha
baat kuch bana leta
waqt k khazanay say
eik pal chura leta
kash.....wo khud aa jata
Apnay ashko se b khud ko chupa k rona,
jb b rona to chiragho ko bhuja k rona,

Log parh laite ha chehray pe likhe tehreero ko,
kitna mushkil ha logo se chupa kar rona,

Hath jatay howay wo b to na mila kr gae
mein ne chaha tha jisay senay se lga kr rona...
Garm-e-Hasrat Nakaam se Jal Jatay Hain,
Hum chiragho ki tarah Shaam se Jal Jatay Hain,
Shama Jis Aag me Jalti hai Nimiash k liye,
Hum usi Aag me Gum-Naam se Jal Jatay Hain........
Meri Zindagi k Mizaj ka

yeh chiragh kuch naya nahi

kabhi roshni, kabhi teerghi

kabhi jala hwa, kabhi bujha huwa


Mri Zindagi bhi meri nahi

ye hazaaar khano ma bat gae

mujay ik mut-the zamein day

yeh zamein bhi kitni simat gae


yeh jo aag ki bail thee

mray tan badan say lipat gae

mujay siskion nay jaga dia

mri kache neend uchat gaee


JAHAN MERA LIKHA GIA

WAHIN ROSHNAI ULAT GAE
ab bujha do ye siskti yadoon k chiragh,

in se kab hijar ki raton me ujala ho ga.....,