Dil lagi thi usay hum se mohabat kab thi
Mehfil-e-ghair se unko fursat kab thi
hum thay muhabat mein lut jany k qayal
us k wadon mein wo hakeekat kab thi
wo wakt guzari k liay karta tha pyar ki batein
warna meri khater us k dil mein chahat kab thi
Aye Khuda Meri Ibadat Meri Dua Qabul Karna
Mera Sapna Meri chahat Ko Sach Karna
Wo Jise Manga Hai Main Ne Tujh Se
Usse Hamesha Abad Rakhna
Agar Ho Koi Khata Uss Se
Tou Mujhe Dena Saza Uss Ki
Na Aiy Koi Ghum Zindagi Main Uss Ki
Har Lamha Bass Yahi Dua Hai Meri
Agar Ho Sakay Tou Mujh Par Aik Karam Karna
AB Ke Kerna To Aesi chahat Kerna
Jisko Aata Hee Na Ho Sikwa Shikayat Kerna
Pehly Khusbu Ke Mizaj Ko Parak Lo
Phir Gulistan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Kerna
Apne Aap Mein Simte Rehna Acha Lagta Hai
Chup Chaap Kuch na Kehna Acha Lagta Hai
Ham Nahi Kabil Teri chahat K
Phir B Teri chahat Mein Rehna Acha Lagta Hai
Bol Na Bol Ay Jane Wale Sun To Le Diwano Ki
AB Nahi Dekhi Jati Hamse Ye Halat Armano Ki
Husn K Khilte Phool hamesha Bedardon K Hath Lage
Aur chahat K matwalon Ko Dhool Mili Weerano Ki
Dil K Nazdeek Nazuk Jazbon Per Raaj Hai Sone Chandi Ka
Ye Duniya Kia Qemat Degi Sada Dil Insano Ki
Ye dil bholaata nahi hay muhabatin uski
Pari hoi thee mujhay kitni aadatain uski
Ye mera sara safar uski khoshboo main kataa
Mujhay to rah dekhati thee chahatain uski