c SMS Messages19427 messages

Kis ehad ki batain karte ho
kab kon kisi ka hota hey
Kub kon kisi ki chahat main
Yun Zehar ka Sagar peeta hey
Ye Hijr,Murawat Mehr-o-wafa,
Sub Rasmi Rasmi Batain hain,
Her Shakhs Khudi ki Masti main,
Bus Apni Khatir Jeeta Hai :)
Kabhi aanso, kabi khushbo,kabhi naghma bun kar
hum se har sham mili hai tera chehra bun kar

meri jaagi howi raato ko usi ki hai talash
so raha hai meri ankho mein jo sapna bun kar

raat b aye to bhujti nai chehray ki chamak
rooh mein phail gaya hai wo ujala bun kar

Dhoop mein kho gaya wo hath chura kar
ghar se jo saath chala tha mera saya bun kar.../
Nahi fursat yaqeen mano humain kuch aur karnay ki,
Tery batain tery yadain bahot masroof rahkti hain,
Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte
chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte
Na chand Na Tare
Bas Dekhe To Aapki Aankhen
In Aankhon Mein Doob Jaana Hai
Aur Pyar Ki Lehron Ko Paar Kar Jaana Hai!
Kayi Zulm Bhare Raaz chupaatin Hain Yeh Aankhein
Aiina Dekh Kar Khud Se Dar Jaatin Hain Yeh Aankhein

Shayd Suna Ho Inki Araaish Ka, Toote Sapnon Se Sanwarti Hain
Bheege Aansuon Se Khud Ko Sajaatin Hain Yeh Aankhein

Yun Kahin Dikh Na Jaaye Kitna Dard Basaa Hai Inmein
Har Ek Se Nazrein churaatin Hain Yeh Aankhein

Yeh Tamanna Rehti Hai Dil Mein K Woh Laut Aayenge
Rasta Tak Tak Kar Khud Ko Behlaatin Hain Yeh Aankhein

Badnaam Ho Gayin Yeh Unki Dewaangi Mein Kho Kar, Par
Unki Khaatir Har Bughz Nigaah Seh Jaati Hain Yeh Aankhein

Woh Nahi Aaya, Khokar Usse Jaane Kaise Yeh Jee Leti Hain
Aakhir Bandh Kyon Nahin Ho Jaatin Warda Teri Yeh Aankhein
Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
Jo Poochta Hai Koi Surkh Kiun Hain Aj Ankhain
To Ankh Mal Ke Kheti Hon Ke Raat So Na Saki
Hazar chahon Magar Yeh Na Khe Sakon Gi Kabhi Bhi
Ke Raat Ronay Ki Khuwhish Thi Magar Roo Na Saki
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar chala Gaya
chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar chala Gaya
Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte
chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte
Aaj Barsoon K Bad Dekhaa Hai
Ab Bhi Aankhon Ka Rang Gehra Hai
Aur chehre Ki Sanwali Si Lakeer
Dil Main Kitne Diye Jalaati Hai
Teri Qaamat K Saye Ki Khushboo
Guftugoo Main Bahaar Kaa Mosum
Be Sabab Aitbar Ka Mousum
Kion Mujhe Sare Dhang Yad Rahe
Kitni Heraan Ho Gai Khud Per
Main Tujhe Aaaj Tuk Nahin Bhooli
Pichle Mosum Ki Yaad Baqi Hai
Ankhon Mein Sama Jao, Is Dil Mein Raha Karna
Taron Mein Hansa Karna, Phoolon Mein Khila Karna

Jab Se Tumhein Dekha Hai, Jab Se Tumhein Paya Hai
Kuchh Hosh Nahin Mujhko, Ek Nasha Sa chhaya Hai
Ab Baat Jo Karni Ho, Aankhon Se Kaha Karna

Aey Kaash Dharkta Dil, Kuchh Der Thahar Jaaye
Ye Raat, Mohabbat Kii, Yunhii Na Guzar Jaae
Baqi Hai Abhii Tum Par, Ye Jaan Fidaa Karnaa
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna

Kismat Na Dikhaye Ab, Ghariyaan Hamein Furaqat Ki
Har Raat Yuunhi chamake,Taqadir Mohabbat Ki
Aey chand Sitaaro Tum Mil Jul Ke Duaa Karna
Aankhon Mein Samaa Jaao, Is Dil Mein Rahaa Karna