bhanwar SMS Messages7 messages

Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha

Woh laut kar na aaya magar intezaar tha


Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe

Main phans gayi bhanwar main woh darya ke paar tha


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye

Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan

Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha


Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka

Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha


Yeh baat umer bhar samjh na paayi main

Kyun Dil mera us ka talabgaar tha
Insaan ki zindagi mein justajoo ka koi wajood na hota.....
Agar Insaan key mukadar mian sirf khushian hoti..
To umeed kun karta, hasratien kis ki udhori rehti..
Agar kooshish ka makam na hota...
sub mukmal ho jatey to phir udhora kun rehta...
Aisa hota.....
To sub ka mukadar phool hotey...phir khantoo ko kun pochta....
Phir kis ki kahstian bhanwar mein bhatkatien.....
Sub ko sathi mil jatey to phir tanhian kis ka mukadar banti.....
saada se ik chehray per
kia jaduger si Ankhain hain
jo dekhay in ka hojaye
jo utray wo kho jaye
kitnay sapnay jag rahay hain
in palkon k saye saye..
shama seher si ,chara gar si,
namar barsi Ankhain hain
anjani pahchani si
apni aur begani si
aik hi manzer ka hissa bhi
aks bhi hairani bhi
sahil jaisi lagty hain wo aur bhanwar si Ankhain hain
saada se ik chahray per kia jadooger si Ankhain hain
Mujhe kinary ki kab tamana,
Tujhay hai darya k par jana, Biphartay darya ki surkh maujen bata rahi hen, Khiraj mangay ga tujh say darya
Jo meri mano to aisa kar lo,
mujhay sharik-safar bana lo,
Khiraj mangay jo tujh se darya
Mujhay bhanwar mein utaar jana.
Tera zaroori hai par jana................
=====ISHQ=====
Rone se gham-e-dil ka guzara nahi hota.……………..
Har ashq, gham-e-ishq ka sahara nahi hota.…………

Hai ishq ke dariya me toofan bhi bhanwar bhi.………
Par har kashti ke naseeb me kinara nahi hota.………

Ishq ka to ab kya bataen, isme aksar.…………………..
Jiske hum ho jaate hai wohi humara nahi hota..…….
Tere wahdoon pe hum jite rahe
Aur tu ne wahda toor deya
Phir akhir wohi kiya tu ne humain
Beech bhanwar main choor deya
Kahin sehra kahin sookhy shajar achy nhi lgty

Muje ab khwabzaaron k safar achy nhi lgty

Jawabi khat me yun usne mery bary me likha tha

Bura b keh nahi sakty mgr achy nahi lgty

Nahi masroof main itna k ghar ka rasta bholon

Koi jab muntazir na ho to ghar achy nahi lagty

Smandr tairti lashon se ye kehta raha shab bhar

Mujhy b doobny walo, bhanwar achy nahi lgty

Nahi aisa k ab parwaz ki taqat nahi baqi

Meri ummeed k panchi ko pr achy nahi lgty... ;->