baarish SMS Messages48 messages

Mohabbat Thair Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THAIR JAATI HAI..
Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad.
Yeh pal pal ka chalna,
fasila khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe woh kal na milega!
Yeh koi gaata hai,
ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe alag khuda na milega!

Yeh guzarti huwi raat hai,
ya nikalti huwi sehar,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe humsafar na milega!
Yeh baarish ki boondein hain,
ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho,
inhe thaamne wala na milega!

Yeh dil ke tukde hain,
ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe marham na milega!

Yeh dil mein armaan hain,
ya sulagte huwe sholey,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sehra mein paani na milega!
yeh kaisi uljhan ban gayi hai
dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sukoon na milega!
hUm AaKsAr YeH sAmAjHtAy HaIn
jIsAy hUm PiYaAr KaRtAy HaIn
UsAy HuM bHoOl BaItHaY hAiN
mAgAr aIsA nAhIn HoTa
MoHaBbAt DaImI sUcH hAi
mOhAbBaT tHaIr JaAtI hAi!!!
HaMaRi BaAt KaY aNdAr
mOhAbBaT bAiTh JaAtI hAi
hAmArI zAaT kAy AnDaR mAgAr
YeH kAm NAHiN hOtI
kIsI bHi DuKh Ki SoOrAt MeIn
kAbHi KoI ZaRoOrAt MeIn
KaBhi aNjAaN sE gHaM mEiN
kAbHi LeHjAy Ki ThAnDaK mEiN
uDaAsI kI zArOoRaT mEiN
kAbHi baarish kI sOoRaT mEiN
hAmArI aAnKh KaY aNdAr
kAbHi AaB-E-RaWaN bAn KaR
kAbHi QaTrAy Ki SoOrAt MeIn
bAzAhIr AiSa LaGtA hAi UsAy
HuM bHoOl BaItHaY hAiN mAgAr
AiSa NaHiN hOtA mAgAr AiSa NaHiN HoTa....
YeH hArGiZ kAm NaHiN hOtI...
MOHABBAT THAIR JAATI HAI.......!!!
december ki baarish me
bheegte pairon se poocho
akelapan kya he
tanhai kise kehta he....

raat ke aagosh me
chipe chand se poocho
chandni bina kaisa he
adhurapan kaisa he


dil ka dard liye
do bicharne walo se
judai ka ehsaas poocho
kaise kategi zindagi abb poocho
Hum ney khushboo ki terha gam bhi akathey dekhey hain.Safa zeast ko palto gi to yaad aaon ga.Isi andaaz main mukhatab hoey they mujsay.Khat kisi aour ko likho gi to yaad aon ga.Sard raton k mehaktey hoey sannaton main jab kisi phoool ko choomo gi to yaad aon ga.haadsey aaeyn gey jeewan main to tum ho k nidhaal.kisi dewaar ko thamo gi to yaad aaon ga.Shaaal pehnaey ga kon december main.baarishon main kabhi bheego gi to yaad aaonga.iss main shamil hai mere bakht ki bhi tariiiki maqsoood.Tum syaah rung jo pehno gi to yaad aonga.
Shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
Guzra kal tha peeche, aaj samne hamare
Hum kabhi to kharay thay
Jaane kis kinaray
Khafa huay tum, zindigaani se hum haaray ..

Is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
Waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
Bheegi baarish main kharay thay
Kaali raat ke thay nazaare....
suna hoga bohat tum nay
kahin aankhon ki rim jhim ka
kahin palkon ki shabnam ka
parha hoga bohat tum nay
kahin lahjay ki baarish ka
kahin sagar k ansu ka
magar tum nay kabhi ham dam
kahin dekhay? kahin parhay?
kisi TAHREER k ansu?
mujhay teri JUDAAI nay
yah mairaaj bakhshee hai
k main jo lafz likhta hun
wo saray lafz routay hain
k main jo hurf bunta hun
wo saaray batain kartay hain
meray sang is judaai mein
MERAY ALFAAZ martay hain!
Kahin baarish Baras Jaye

Kahin Darya Taras Jaye

Kahin Aa Kar Ghata Thehrey

Tumhare Aur Maire Darmiyan

Aa Kar KHUDA Thehrey

Tou . . . !

Us Lamhay Maire Jeevan Main

Tum KHUDA K Baad Aate Ho

Mujhe Tum Yaad Aate Ho. . .
Zinadgi Kis Terha Bitaoge
Paas Jab Apne Humain Na Paoge

Din Man Tanhaiyan Satayengi
Raat Main Chonk K Uth Jaoge

Raat Bhar Neend Kion Nahi Aati
Tum Ye Khud Samajh Na Paoge

Log Poochenge Is Tanhai Ka Sabab
Kia Chuapoge Kia Bataoge

Palkain Har Baar Bheeg Jayengi
Jab Kabhi Khul K Muskuraoge

Meri Yaadain Bohat Satayengi
Jab Bhi baarish Main Bheeg Jaoge

Khud Ko Tanha Na Paa Sakoge
Har Jaga Mera Hii Aks Paoge

Batao
Zndagi Kis Terha Bitao Ge
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din

Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din

Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din
Chaha hai maine bohat shiddat se tum ko
Main tumhain bohat shiddat se yaad aaonga

Yun sakoon se tum kabhi bhi so na sakoge
Ban ke Dil ki kasak raat bhar jagaoonga

Ab ke baras sawan Dil main aag lagaye ga
Bhigo gi tum jab bhi baarish main main yaad aaonga

Her shair her nazam main nazar aayengi meri baatein
Parhoge jab bhi koi shairi main yaad aaonga