apne SMS Messages896 messages

Vo khush hue jab hum dil se roye,
Raat bhar jage to vo chain se soye,
Unhe de di humne phoolo ki sajja,
Aur sare katein apne path par boye
kya khabar thi wo humien daagh_e_judai deingey
hum zamaney mein shab_e_gham ki duhai deingey

pehley tum apni wafaoon ko koi rang toh doh
khud naye rastey ankhoon ko dikhai deingey

apne andar ke gali kuchoon se guzro aik din
tere kanoon ke shor sunai deingey

hum badal deingey baharoon ke puraney andaaz
perhan ab ke har aik gull ko hinai deingey

apney mazi ko na dekhiengey palat kar
gham ki zanjeer se iss dil ko rehai deingey!!
teri yaad mein jeetey jeetey aik zamana beet gaya
hum ko apney app se bichrey zamana beet gaya

pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha
pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

ankhoon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha
ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya

jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha
phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gaya

kon suney faryaad kissi ki kon kissi ka dard sahe
apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!
batata hai mujhe aiyna kesey berukhi se
ke mein mehroom hota ja raha hoon roshni se

kisey ilzaam doon mein raigaan honey ka apney
ke sarey fesley mein ne kiye khud hi khushi se

har ik lamha rehti hai taza aik shikaiyat
kabi tujh se kabi khud se kabi iss zindagi se

mujhe ab tak bahot khawaish thi khud se guftagu ki
mein chupta phir raha hoon ajj apney app hi se

jo chahe wo sitam mujh par rawa rakhey ye duniya
mujhe yun be tawaqo ab nhin kuch be kissi se!!!
qismat ruk gayi dil ke taar toot gaye
wo be rooth gaye sapney be toot gaye
khazaney mein the sirf do ansoo
jub app ki yaad ayi wo be loot gaye

zuban khamosh hai ankhoon mein nami hai
yunhi bus ik dastan_e_zindagi hai
bharney ko toh har zakham bhar jayega
par kesey bharegi wo jagah jahan app ki kami hai!!
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Sochta hoon taire bare main apna kheyal likhoon
tairi tehreef likhoon ya khuda ka kamal likhoon

maire qalam se aur koi tehreer ban na paaey
main jab bhe likhoon bas taira hus-ne-jamal likhoon

main ne ek ummer kati ha tenhaiyoon main
kaghaz k aik tukre pe kaise main hal likhoon

her zindgi ko urooj tak jo rahnamai de
main apni zindgi ki aaisi misal likhoon

maire baad bhe muje loog kitaboon main dein jaga
main apne urooj ki terha apna zawal likhoon
hadsoon ki duniya mein kon kiss ko rota hai
yaad kar ke dukh apney khoon dil ka hota hai

amad_e_baharan par roye khoob roye hum
dard yoon be thamta hai dard yoon be hota hai

app ki nigahoon mein wo be hogaye mujrum
jin ki begunahi par asmaan be rota hai

khaak mein milein akhir sub riyaztein oss ki
jagney se kya hoga jub naseeb sota hai

naqsh subt hotey hein dil mein bewafai ke
naaz jin pe kartey hein maan jin par hota hai

dil mein kitney tufaan hein purskoon chehra hai
janey wo Sameer apney dukh kahan samota hai!!
apne aaghaz se ajj tak zindagi teri
Hi yaad mein gum rahi...
Phir bhi jaane kyu ye ehsaas hai
Jaise chahat meri kam rahi!
najaney kyoon guzrey zamaney yaad atey hein
kyoon ye puraney zakham phir mujhe statey hein

har chehrey mein chupa hai chehra un ka
nazar milaney se hum issi liye katratey hein

kub hoti hai rahat dil ko iss tarah se
ke tera naam le kar hum kissi aur ko bulatey hein

yoon toh roney ko umar de gaya wo
lekin gham oss ke sehney se hum kub ghabratey hein

ghar se be ghar kiya tha jin logoon ne humein
suna hai phir mujhe wapas bulatey hein

apney naseeb mein hai aik baar wisaal un ka
mere naseeb issi liye tujhe baar baar azmatey hein

in ankhoon ko nhin ab naseeb unein dekhna
kya karein wo mere khwaboon mein aa jatey hein!!
Chalo ye raat ham ik dosre ke naam karte hain,
Chalo ik dosre ke aj ham dukh dard sunte hain,
Bhatakte ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamtan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehte ho hazaron dard sehte ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor sunte hain,
Chalo acha yon karte hain,
Suno tum ham sunate hain,
Ham apne dil ke har ik zakhm se parda uthate hain,
Dikhate hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti jarahi hay zindagi MEHTAB,
Tarapte hain sulagte hain magar khamosh rehte hain,
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata

Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata

Dosti k liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost samjha nahi jata

Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata

Koshish se badal jaati hai Taqdeerein
De kar ilzaam Qismat ko or dil ko behlaya nahi jata .