anso SMS Messages338 messages

Nah jane kiun mera peeccha karti hein
yadein uski essa hamesha karti hein

bholna chahoon bhi tu bhula nah paaon usse
sanson se uski muattar hawaein aaya karti hein

fizaein ithlati hein uske badan ko choo kar
subak kharami dekh ke uski samander mein lehrein utha karti hein

phool uske lab o rukhsaar ki balaein lete hein
palkein utha ke dekhey tu dilon per bijliyan gira karti hein

ab tum hi batao kesse chuppon uss se jimmi
har pal har jageh uski ankhein mujhey dekha karti hein
Us Ne Kaha Kon Hai Tumhay Bohat Aziz

Main Ne Kaha DIl Pay Jis Ka Ikhtiyar Hai

Us Ne Kaha Kon Sa Tofha Do Main Tumhay

Main Ne Kaha Wahi Sham Jo Abhi Tak Udhar Hai

Us Ne Kaha Khizan Main Milnay Ka Jawaz

Main Ne Kaha Qarb Ka Mutlab Bahar hai

Us Ne Kaha Sekron Gham Zindagi Main Hain

Main Ne Kaha Ghum Nahi Jub Sath Ghum Guzar Hai

Us Ne Kaha Sath Kahan Tak Nibhao Gay

Main Ne Kaha Jub Tak Yah Sanson Ki Taar hai
Mujh ko ik hamdam mila tha,ik safar ki raat main
Main bohat baykhud hoa tha,ik safar ki raat main
jany kis ki yaad thi k ik manzar dekh kar
toot kar main roo para tha!ik safar ki raat main
Woh k jis sayy umar bhar ki Doryian mansoob hain
Mery seenay sy laga tha ik safar ki raat main
Har taraf phaily hoye thy yaad-e-gham k silsilay
Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat main
ghar sy bahar paon rakhty hi Laraz uth-ta hai Dil
Hadsa aisa hoa tha Ik safar ki raat main
Aaj bhi Gungunata hon usy tanhai main
Geet jo humny suna tha Ik safar ki raat main
kabi chaho gay tu chahat say bulayengy tumhain,
dard-e-dil hota hai kaya,dekhayengy tumhian,,
MUHABBAT hoti hai kaya,MUHABBAT kr k dekh lena,,,
phir mere pas ana kuch bataengy tumhain,,,
kabi na ayeen ankh main ansoo tu aisa krna,,,
ik sham meri pas ana bht rulayengy tumhian,,,
pochty ho jo zinda rehny ka sabab,,,
chalo kisi roz zindagi say milwaengy tumhian,,,
main main na rahoon tum tum na raho
ek duje mein khoo jain ek jaan ho jain
chalo aao aaj ki sham ko kuch es tara sajain
ke seher tak donon madhoosh ho jain
lepat ke ek duje ki bahoon se raat bhar
barsoon ki tashnagi seher tak mitaain
dori rahe na darmiyan etne qareeb aao
tum hum mein sama jao hum tum mein sama jain
es haseen sham ko aaj yun na dhalne deain
sulagne deain saansoun ko jismon ko phigalain
bujhane se bhi nhi bujhti yeh piyaas muhabbat ki
ab tarse howe hontoon ko hontoon se milne deain
barsoon ki tashnagi ko kese bujhain MAHEK
chalo aao phir se ek haseen sham sajain

MAHEK
Mere pyaar k tu sang sang hay
Mere sapnon main chahat ka rang hay
Pyaar kiyaaaaa
Main ne dil deya,main ne dil liya

Phali huy chandani hay
Raat bhi haseen hay
Tu jo naheen paas mere
Kuch bhi naheen hay
Tuj bin meri suni umang hay
Mere sansoon main tu mere sang hay

Gati huy roshni hay pyaar ko jagaye
A ja mere meetman tuj ko bulaye
Aaj sari fazaa jaltarang hay
Meri sanson main tu mere sang hay
Pyaar kiyaaaaa
Main ne dil deya,main ne dil liya
Dil Hi Dil Mein Hum Tumhain Pyar Bahot Krtey Hain
Lekin Saach Hai K Bataney Se Bahot Dartey Hain

Khud Pe To Hai Yaqin Saanson Pe Magar Nahi.
Moat Se Nahi Aey "Khushi" Zindagi Se Hum Dartey Hain

~ Tum Bin ~
Faakey pe faka ho raha hai,
Naakay pe naka ho raha hai,
Hukumat ker rahi hai Mansooba Bandi,
Phir bhi Kakay pe Kaka ho raha hai.
Apni saanson ko rok lijiye,


Dil ki dharkanon ko thaam lijiye,


Dil ki gaheraai se mera naam lijiye,


Bus ab normal ho jaiye aur apna kaam kijiye..
:-).
''Hotho se jo choo liya,
Ehsaas Aab tak hai,
Aankhe Nam hai, Aur sanso mein Aag aab tak hain...
Aur kyo na ho... Khayi Bhi to "HARI Mirchi..."-hai''
''dil se dil laga kar bhi dekh,
meri yaad mein aansoo bahakar bhi dekh,
SMS kya CALL bhi karenge,
ek baar mere mobile ka bill chuka kar bhi dekh......''
''Raton ko uth kar,
Khayalon se ho kar,
Yadon me kho kar,

Tumhe kya khabar hy,
Me apne KHUDA se kya mangta hon,

Viraano me ja kar
Daman phe''la kar
anson baha kar

Tumhe kya khabar hy.
Me apne KHUDA se kya mangta hon,

Tum to kaho ge,
SANAM mangta hon,
JANAM mangta hon,

tum to kaho ge,
Kisi DIL RUBA ki,

Kisi DIL NASHIN
ki wafa manga hon,

Ye B ghlt hy
Wo B ghlt hy

Me apne KHUDA se Sirf
"LIgHT" ane ki Dua mangta hon.;-)''