aazo SMS Messages5 messages


Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din

Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din

Phoolon ki tarha “husn” ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din

Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din

Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din

Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din

Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
*Talash-e-Gumshuda*
Naam Ch. Shujaat Hussain.
Bolnay or dekhnay say maazoor hai.
Zehni tawazan drust nahi
Apna naam Quaid-i-Azam btata hay.
18 Feb ki Sham kala Chashma pehanay Cycle ko puncture lagwanay nikla tha jis ko milay, is patay par rabta karay:
Ch. Azab-e-Elahi (Ex-CM Pokha Nanga Punjab), Lota House, Opposite Coruption Factory, Horse trading Bazar, Gujrat.
Alfaazo ki baat na karoo
Yunhii afsaane ban jaate hai
Milti hai aap se nazree jab
Yunhi jaam jhalak jatee hai
Sambhaaliye is chaand se chehree ko

Ab alfaazo mai kia biyaan karo
Mera din tu hoa shoro abhi

Jab se hoi yeh raat shoro.../
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Chehre pe mere zulf ko phailaao kisi din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din

Raazon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

Pedon ki tarah husn ki baarish mein nahaa loon
Baadal ki tarha jhoom ke ghirr aao kisi din

Khushboo ki tarha guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab- a-vasl ko dohraao kisi din

Guzrein jo mere ghar se to ruk jaayein sitaare
Iss tarha meri raat ko chamkaao kisi din

Main apni har ik saans usi raat ko de doon
Sarr rakh ke mere seene pe so jaao kisi din