Qateel SMS Messages11 messages

Tum poochho ore main na btaon
Aesay to halaat nhi
.
Aik zra sa dil toota hay
Ore to koi baat nhi
.
Kisko khabar thi sanwal.e.badal bin brsay urr jatay hain
Sawan aaya lekin apni qismat main brsaat nhi
.
Toot gia jb dil to phr saanson ka chalna kia maani
Goonj rhi hay keun shehnaie jb koi baraat nhi
.
Meray ghamgeen honay pr ahbaab hain keun heraan Qateel
Jesay main pathar hoon meray seenay main jazbaat nhi
Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi Qateel bhi to ho
Basher Key Roop Main Ek Dilruba Talasm Baney
Shafaq Main Dhoop Milayen Tu Us Ka Jism Baney
Woh Mojzaat Ki Had Tak Pohunch Gaya Hey Qateel
Hurf Koi Bhi Likhoon Usi Ka Ism Baney
Apne honton per sajana chahta hon
Aa tujhey main gungunana chahta hon

Koi ansoo tere daman per gira ker
Boond ko moty banana chahta hon

Thuk gaya main kerte kerte yad tujhko
Ab tujhey main yad aanaa chahta hon

akhri hichki tere zaano pe aaye
maut bhi main sha''erana chahta hon

Rah gayi kuch kami ruswaiyon main
Phr Qateel us durr pe jana chahta hon
Woh Shukhs K Main Jis Se Mohabbt Nahi Kerta
Hansta Hai Mujhe Dekh k, Nafrat Nahi Kerta.
Dete Hain Ujalay Mere Sajday Ki Gawahi,
Main Chup K Andheroon Main Ibadut Nahi Kerta
Duniya Main Qateel Is Sa Munafik Nahi Koi,
Jo Zulm Tu Sehta Hai Baghawut Nahi Kerta...
hamaare paas rahe ya kinara kar jaaye
udaasion ka woh koi to chaara kar jaaye

Qateel pi to liya hai khushi se zehr e firaaq
khuda kare ke tabiat gawara kar jaaye
na koi khawab hamaray hain na taberain hain
hum to pani pe banai howey tasveerain hain

kya khabar kab kisi insaan pe chaat aan giray
qareya e sung hai orr kanch ki tameerain hain

lut gaye mooft main doonu, teri dolat mera dil
aey sahhee! teri meri aik si taqdeerain hain

hum jo nakhawanda nahi to chalo aao parhein
wo jo deewar pe likhi howey tehreerain hain

ho na ho yeh koi such bolnay wala hai Qateel
jiss k haath main qalam paon main zangeerain hain
Main apni zaat mein neelam ho raha hoon Qateel...

Gham-e-Hayat se keh do khreed le mujhe...!
kua mile ga tujhe bikhrey huye khuwabon k siwa.
rait pe chand ki tasveer banane walay.
maikaday band huye,dhund raha hun tujhko.
tu kahan hai mujhe aankhon se pilaney walay..
mar gaye hum to ye qutbay pe likha jaye ga.
so gaye aap zamanay ko jaganey walay.
dar-o-diwar pe hasrat si barasti hai"Qateel".
janey kis dais gaya saath nibhanay walay.
Tu ne ye phool jo zulfun main saja rakha hai.
Ek diya hai jo andhree main jala rakha hai.
Jeet le jaye koi mujko naseebon wala.
Zindagi ne mujhe daao pe laga rakha hai.
Jane kub dil main koi jagne wala aa jaye.
Es lye main ne girebaan khula rakha hai.
Imthaan or mere zabt ka tum kya lo ge.
Main ne darkhan ko bhi seene mian chupa rakha hai.
Dil tha ek shola magar beet gya wo din "Qateel"
ub kurede na ese raakh main kya rakha hai.
Faiz

Saghar

Iqbal

Jalib

Mohsin

Saher

Meer

Ghalib

Aatish

Nasir

Qateel

Akbar

Bashir bdr

Noshi gilani

Parvin shakir

Fakhra batool

Wasi

Amjad islam

Saleem kosar

Kafe azmi

Momin

Hafeez jalndhri

Qasmi

Wasiq

Hafiz

Daagh

Hasrat

Aur
AMJAD
ki appeal hy k

"Faraz" ko maaf kr dein. . . ;->