Parwa SMS Messages57 messages

Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meharban Raho,

Tum Kisi Aur Ko Dekho To Bura Lagta Hai,

Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Saath Raho,

Gair Ka Haath Jo Thamo To Bura Lagta Hai,

Aarzo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhoon,

Tum Mere Paas Se Utho To Bura Lagta Hai,

Roz-o-Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko,

Tum Kisi Aur Ko Socho To Bura Lagta Hai...!!
Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yaar chalta hai
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadat mein aajzi tu chalti hai
Martbay nahin chaltay
Dosti k rishton ki Parwarish zaroori hai
Silsilay taaluq k khud say ban tu jatay hain
Laikin in shagoofon ko
Tootnay bikharnay say
Rokna bhi parta hai
Chahton ki matti ko
Aarazo k poday mo
Seenchna bhi parta hai
Ranjishon ki baton ko
Bhoolna bhi parta hai
Kyou k
Ishq k ilaqay mein hukm-e-yaar chalta hai
Zabtay nahi
Sochnay samajhnay say,
sath sath chalnay say,
doriyan simat ti hain,
faslay nahi chaltay,
khawab khawab ankhon main,
ratjagay nahi chaltay,
darguzar k halqay main,
maslay nahi chaltay,
dosti k raston ki,
Parwarish zarori hai,
dosti k rastay main,
khafgiyan nahi chalti,
do dilon ki qurbat main,
Teesra nahi hota,
wastay nahi chaltay.
Kahin sehra kahin sookhy shajar achy nhi lgty

Muje ab khwabzaaron k safar achy nhi lgty

Jawabi khat me yun usne mery bary me likha tha

Bura b keh nahi sakty mgr achy nahi lgty

Nahi masroof main itna k ghar ka rasta bholon

Koi jab muntazir na ho to ghar achy nahi lagty

Smandr tairti lashon se ye kehta raha shab bhar

Mujhy b doobny walo, bhanwar achy nahi lgty

Nahi aisa k ab Parwaz ki taqat nahi baqi

Meri ummeed k panchi ko pr achy nahi lgty... ;->
"ARZOO"

ik arzoo hy qubool Parwardigar kry.

mai dair se jaon wo mera intizar kry,

apny hathon se sanware zulf meri,

wo itra kr mohobt ka iqrar kry,

lipat jaye mujse aalm-e-madhoshi main,

aur josho janoon mai mohabat ka izhar kry,

ho shab wisal ki aise ya rab,

k choom k matha mujhe bedaar kry,

jb usy chor k chahon me jana,

vo roke ik aur rat ka israr kry,

qasam ''KHUDA" ki main kisi or ka ho nhe sakta,

ye wada-e-wafa vo bar bar kry...
Be naam Musafir hon,
Be naam safar mera,
Kis Raah nikal jaon,
Kuch keh nahi sakta,

Be naam meri manzil,
Be naam Thikana hay,
Kis dar pe mein ruk jaon,
Ke kisi ki chahten tum ho,

Kabhi Ek pal ko socho to,
Tumhari Be-wafai ne,
Tumhari LaParwahi ne,
Tumhari be-neyazi ne,

Kisi ko Maar Dala ha,
Kuch waqat do homko,
Bana lein Dost is Ghum ko,
Hamein maloom hay aakhir,

Judai maar Dale gi.
Parwanay ko sham''ma pe jal k kuch tou milta hoga ~Mohsin~

Sirf marnay ki khatir tou koi jaan nahi deta....!!
Dukh Dard me haDukh Dard me hamesha mesha Nikaly Tumhare "KHAT"
Aur Mil gai Khushi tou Ushaly Tumhare "KHAT"

Sab Chooriyan Tumhari Samandr Ko Sonp Diin
Aur Kr Deye Hawa k Havaly Tumhare "KHAT"

Mery Lahoo me Goonj raha he Her ek Lafz
Maine Ragoon k Dasht me Paaly Tumhare "KHAT"

Yun tou hen Beshumar Wafa Ki Nishaniyan
Lekin Har Shaye Se Niraly Tumhare "KHAT"

Parwa nahe Mujhy kisi Chaand Ki Wasi
Tareek zindagi me Hen Ujaly Tumhare "KHAT"
Jee Bhar K Dekhon Tujhe Agar Tujhko Gawara Hoo
Betab Meri Nazrain Hon Or Pyar Tumhara Ho

Jaan Ki Fikar Hoo Na Zamaney Ki Parwa
Ek Tera Pyar Hoo Sirf Hamara Hoo
madad q mangte ho''Ghalib''auron k darbar se,,,

wo konsa kaam hai jo hota nahi tere ParwaRDIGAR se....
Woh sehri ki noraneyat,
Woh iftaar ki rounaq,
Woh aasman se rehmat ka barasna,
Woh masjidun ka rooh Parwar manzar,
Woh naikiyon ka jazba,
Woh tilawat ki dhoom,

Jee han rehmat wala maghfirat wala
or azab se nijaat wala mahena
“RAMZAN” aaney wala hai,
Duaon main yaad rakhna.
Msrofiat
Kanjosi
Gurbat
LaParwahi
Narazgi
Balance ki kami
Mobile ki khrabi
Alfaz ki killat
Nakhry
Ya koi or wja hai sms na krne ki.