Mausam SMS Messages83 messages

Ab k saal kuch aisa karna
Apney pichley bara maah k

Dukh sukh ka andaza karna
Bisri yaadein taza karna

Sada sa ik kagaz ley kar
Bhooley bisrey pal likh lena

Phir iss beetey ik ik pal ka
Apney guzrey ik ik kal ka

Ik Ik mour ka ihata karna
Sarey dost akatha karna
Saree subhein hazir rakhna
Saree shamein paas bulana

Aur alawa in k dekhoo
sarey Mausam dheyaan mein rakhna
Ik ik yaad gumaan mein rakhna

Phir mohtaat qiyaas lagana

Gur to khushiyaan barh jati hain
Tu phir tum ko meri taraf se yeh saal mubarak

Aur agar gham barh jaye to
MaTt bekaar takaluf karna
Dekho phir tum aisa karna
Meri khushiyaan tum ley lena
Mujh ko apney ghum dey dena
Ab k saal kuch! aisa karna
Question:


"Sardi K Mausam Main Sab Se Mushkil Kaam Konsa Lagta Hai?"


Send It To Your Friends and Get Funny and Exciting Answers.

But Reply Me First.
Ab ke sawan(rain) mein paani barsa bahut,
Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.
Is suhaane Mausam mein saath nahi tha koi,
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.
Ye badal ye bijli sirf apke liye hai,
ye Mausam ye hawa sirf apke liye hai.
Kitne din beete aapko nahaye hue
ye bewaqt barish sirf apke liye hai.
Ab ke sawan main paani barsa bohat
Paani ki har boond main woh aaye yaad bohat
Is suhaane Mausam main saath nahi tha koi
Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bohat
Is pyari si subah mein, pyare se Mausam mein, pyari si koyal
ki awaaz, pyari si hawaaon mein, sabse pyare insaan aur sabse
pyare dost ko Good Morning!
Pyari si morning mein, pyare se Mausam mein, pyari si koyal ki awaaz, pyari si hawaon mein, sabse pyare insaan ko Good Morning!
Ghar k dareechay se lagh ker tujh ko sonchtey rahey,
Baadlon ki gargarahat mein tujh ko khoojhtey rahey..


Dhoondhney ka silsila saari raat chalta raha,
Kabhi jaaghtey rahey, kabhi tujh ko sonchtey rahey..


Barish ki ek boondh pari jo mere chehrey per,
Is nanhi si boondh mein tujh ko dhoondhtey rahey..


Yeh Mausam bhi apne sath laata hai ek daastan,
Is daastaan ko sun ker tujh ko sonchtey rahey..


Apni sonch ko itna waseeh ker dia hum ney,
Keh samne sab kuch hai, phir bhi tujh ko sonchtey rahey...
Do lafzon mein bayan hoti nahi kahani meri
Thak gaya asman thak gae zameen
Par yadein na rukein ye thi meri zindagani
Ab badal gaye Mausam
Ab badal gae rutein
Phir bhi dhoonti hain muhjhay wo shamein
Siha kali
Kuch likhna chahta hoon...
Sochta hoon kya likhoon.

Phoolon ki woh mehekti khusbu,
Barish ka woh bheega paani,
Aur hawa mein thi jo rawaani,
Kya us Mausam ka khumaar likhoon???

Thi chehre par unki masoomiyat,
Aankhon mein thi thodi sharaarat,
Aur baaton mein woh nazaakat,
Kya unka rangeen mijaaj likhoon???

Unka aakar muskarana,
Jo rooth jaun to manana,
Jaate jaate phir rulaana,
Kya unka yeh andaaz likhoon???

Yaadon mein unki ashq bahaana,
Har shaam ek diya jalaana,
Soyi ummeed ko roz jagaana,
Kya unka yeh intzaar likhoon??
kisi ki yaad dil main hai koi ehsas baqi hai
badalte Mausam ke darmiyan ek raz baqi hai

abhi main safar mein hoon mile gi manzil mujhe
magar in raston kay darmian ek sath baqi hai

kahin pe sham dhalti ha kahin raat hoti
abhi to chandni hai chand ki raat baqi hai

chale aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai magar aik saans baqi hai

umeed hai phir bhi mile ga wo hamain aik din
khuda par hai bharoosa,khuda ki baat baqi hai
Woh chand chup gaya mujhay rat sonp kar
Ankhon ko intezar k lamhat sonp kar
Ek shakhs tha jo mujh say bichar gaya
Ankhon ko meri Mausam-e-barsat sonp ka