Labon SMS Messages54 messages

Ek bheegi hooi si raat mily
Us raat mein tera hath mily

Tery lab sy tapkein jo boondein
Unhein mery Labon ka sath mily

Kuch tum bhi behky behky sy
Kuch mujh py nasha sa taari ho

Har pal mein jaan madhoshi ho
Ik aesi raat hamari ho

Phir tum aao meri baanhon mein
Main pyar karoon tumhein ji bhar k

Tum mujh sy thora sharmao
Sharma k galy sy lag jao

Main jitna tum ko pyar karoon
Tum itny hi betab ho jao

Hamein pyar k kuch lamhat milein
Ik bheegi hooi si raat mile.
Mere Wajood Ki Mujh Mein Talash Chhod Gaya,
Jo Puri Na Ho Kabhi Aisi Aas Chhod Gaya,

Wo Chahaton Ki Talab Mann Ki Pyaas Chhod Gaya,
Mujhe Bana Ke Wo Ek Zinda Laash Chhod Gaya,

Yehi Karam Nawazi Uski Mujh Pe Kaam Hai Kiya,
Ke Khud To Door Hai Yaadein To Paas Chhod Gaya,

Jo Khwahishein Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab,
Mere Labon Mein Wo Ek Lafz "KAASH" Chhod Gaya,

Ye Mera Zarf Hai Ek Roz Usne Mujhse Kaha,
Ke Aam Logon Mein Ek Tujhko Khaas Chhod Gaya,

Baharon Se Mujhe Isi Liye To Nafrat Hai,
Inhi Raaton Mein Mujhe Wo Udaas Chhod Gaya,
Hamara ye tum ko salaam aakhri hai
Suno aj tum se kalaam aakhri hai
Agar ho sake to bhula dena hum ko
Yehi ek chhota sa kaam aakhri hai
Abhi aarzuon k sehra pyase hain
Magar aansuon ka ye jaam aakhri hai
Teri bewafaye ka shikwa aakhri hai
Yehi to wafaon ka inaam aakhri hai
Mariz-e-mohabbat ki aye chaara sazo
Tumhare shehar me ye shaam aakhri hai
Zara dair thehro qazaa k farishto
Labon pe hamara payaam aakhri hai
Koi mil sake ga na Hasrat k jesa
Teri adaon ka ye ghulam aakhri hai
kiya likhon tery naam sajan
tuje sochon subho sham sajan
tm neeli jheel ka pani ho
mohobbat ki ek kahani ho
tm pyar ka meethe bol ho
tm hr ek se anmol ho
tm aasman ka badal ho
tm mari aankh ka kaajal ho
tm mere mann ki jeet ho
mere Labon ka geet ho
tm chaman me khilta gulaab ho
chahat se likhi kitaab ho
tm mere liye mere sanam ho
jo toot na sake wo kasam ho
kiya likhon tery nam sajan
tumhe sochoun subho shaam sajan
Dil ki Baat Labon Par La Kar Ab Tak Hum Dukh Sehtey Hain,
Humne Suna Tha Iss Basti Mein Dilwaley Bhi Rehtey Hain,

Beet Gaya Sawan Ka Mahina Mausam Ne Nazrein Badli hain,
Lekin Inn Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansu Behtey Hain,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Waley Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehtey Hain,

Jis Ki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jiske Liyey Badnaam Huey,
Aaj Wohi Humse Begane Begane Se Rehtey Hain,

Wo Jo Abhi Rehguzar Se Chaak-E-Garebaan Guzra Tha,
Uss Awaara Deewane Ko Jalib Jalib Kehte Hai...
Ik Isharay Ki Muntizer Hon Teraiy,
Phir Mujh Sey Kiun Faslon Pay Rehtey Ho
Dedaar Tera Ho Jai Terey Ashiq Ko Our Kia Chaheye
Tamana Hai Tujhe Bahon Mein Bhero Labon Ko Chomo
Khatim Houa Intezaar
Aa Jou ,Yeh Sada Chaheye
Labon ki sersarahat se
badan k choor hony tak

Main tujh ko is tarah chahoon
K meri saans ruk jaye

Khataon par khata'ain hun
Na ho kuch baat kehny ko

Main tujh men yun sama jaon
K meri saans ruk jaye

Na himmat tujh men ho baqi
Na himmat mujh men ho baqi

Magar itna qareeb aaon
K meri saans ruk Jaye

Tery honton pe jab rakhun
Main apny hont kuch aesy

Ya teri pyaas bujh jaye
YA MERI SAANS RUK JAYE
Labon ki sersarahat se.
badan k choor hony tak.

Main tujh ko is tarah chahoon.
K meri saans ruk jaye.

Khataon par khata'ain hon.
Na ho kuch baat kehne ko.

Main tujh main yoon sama jaoun.
K meri saans ruk jaye.

Na himmat tujh main ho baqi.
Na himmat mujh main ho baqi.

Magar itna qareeb aaoun.
K meri saans ruk Jaye.

Tere honton pe jab rakhoon.
Main apny hont kuch aise.

Ya teri pyaas bujh jaye.
YA MERI SAANS RUK JAYe
Dukh Sirf Bicherne Ka Nahi Hota . . .
Bal K Milne Ka Bhi Hota Hai . . .
Jab koi Puraana Humdam/Dost Barson Baad
Labon Per Mukurahat Aur Aankhon Main Sard-Mehri LSaja Ker Miley
Tou Ye Zaruur Naapna
Us Dost Se Bicherne Ka Dukh Ziada Tha Ya Milne Ka . . . ! ! !
Gardishen Lot Jati Hain Meri Balain Lekr

Ghr Se Jb Niklta Hon Ma"MAA"Ki Duain Lekr

Labon Pe Us K Kbhi Baddua Nai Hoti

Ek"MAA" He Hai Jo Mujse Khafa Nahi Hoti
Kyon Maangte Ho Andhere Apne Vaaste E Dost
Jab Hum Roshni Kharid Laaye Hai
Takeed Ki Hai Baharo Se K Tujhse Jaakar Mile
To Kyon Tere Aas Paas Gumon K Saaye Hai

Apne Labon Ko Kyon Siye Baithe Ho
Kya Chhupa Hai Dil Mein Saamne To Laao
Dard Ki Lakiron Ko Mitane Do Gallon Se
Tere Liye Har Lamhe Se Muskuraahte Samet Laaye Hai

Gar Karoge Bharosa Mujh Par Dost
Waada Hai Sada Saath Nibhaunga
Har Aansun Jo Ubhrega Teri Aankon Mein
Teri Ksam Apni Aankhon Mein Sahej Laaunga
Aisi Kia Dua Doon Tum Ko , Jo Tumhari Labon Pe hansi k Phool Khila day..
Bass Yehi Dua Hai Meri , Sitaron Si Roshni Khuda Tumhari Taqdeer bana De ...

( AMEEN )