LABO SMS Messages97 messages

woh barsaat
jis ke intizar main bara maah guzre
kaali ghataa chaane ke baad
poora samaa jhal thal ho gya
pattay bheege
phoolon ne bhi ghusal kia
per mere honton ko
us aek katray ki pyas rahi
jo teri zulf se ho kar
tere rukhsar pe bahay
aur jab wohi aek katra
teri ghulab ki pankharion
se LABOn per aa ke thehray
apni barson ki pyas bhuja loon
teri aankhon ko choom loon
tere sapno main ashiyana bana loon
tere LABOn ko choo loon
teri har baat ammar kar doon
tere ghulabi rukhsaron per chehra laga ke
kisi dhoop main chaon ki manind
umer guzar doon
tera wajood orh loon
kahe to zindagi tere naam kar doon
Manzilo ki har sadak aap ke naam,
Mohabbat ki har adda aap ke naam,
Pyaar bhari har nigah aap ke naam,
Aur aaj LABOn par aaane wali har dua aapke naam
kalyee mein soya kangan
shor machayae khankhan,
paoun ki payal barson se
ghumsum gumsum,
nach uthi rumjhum rumjhum.
LABOn pe tha hayah ka talaa
nutkhat aisa mere kaan ka bala....
bol gaya!
chipa ke rakha piya jee se raaz......
woh khol gaya !
piyar tou hai sajan jee
pur kehtae kehtae
Dil hamara dol gaya ........
Ye Asar Hai Unki Najar Ka,
Ya Mere Dil Ka Kasur Hai .
Aaj Meri Hasi Bhi ,
Mere LABO Se Dur Hai .
Wo Khadi Hai Samne, Dekta Hun Main ,
Kaun Jane Kaun Apne Hi Dil Se Majbur Hai
LABO pe aaj unka nam aa gaya,pyaase k pas jaise jaam aagaya,dole kadam to gire unki bahome jakar,aaj hamara pina hi hamare kaam aa gaya....
Kash mein ek shaayar hota,
kaash yeh dil ki baat kehpaata,

LABOn tak aake ek baat ruk gayeethi,
zindgiki yeh daastan waheen tham gayeethi,

kaash who mere dilke ashk sun pateee,
kaash mein ek shayar hota.
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey LABOon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Lafzon ki tarah tu mujh se kitabon mai mila kar Duniya ka tujhe dar hai to khawabon mai mila kar Phuloon se khushbu ka taaluq hai zaruri. Tu mujh se mehak ban k guLABO mai mila kar...
WO TO MAJBORIOON MAIN LIPTI HAIN
APNEY SHIDDAT BHAREY KHYALOON MAIN
APNEY ANDER CHHUPI EK AURAT MAIN
WO HAMESHA HI DARTI REHTI HAIN
NA TO JEETI HAIN NA TO MARTI HAIN

LARKIYAAN BEWAFAA NAHI HOTI

PER HAMESHA HI DARTI REHTI HAIN
APNE REETI OR RAWAJOON SE
ANY WALEY NAYE AZABOON SE
ZARDURAT MAIN KHILY GHULABOON SE
PYAAR KERTI HAIN OR CHHUPATI HAIN

LARKIYAAN BEWAFAA NAHI HOT

KYUON KI MAJBORIOON MAIN LEPTI HAIN
OR HER LAMHA DARTI REHTI HAIN
APNEY PYAAR SE APNEY SAYE SE
APNEY RISHTON SE DIL KI DHARKAN SE
APNI KHOWAHISH SE APNI KUSHIOON SE

LARKIYAAN BEWAFAA NAHI HOTI !!!
teri yaad hamein jeene nhi deti,
reh reh ke rolati hai sone nhi deti,
jab kabhi hansi LABOon pe aati hai,
teri yaad ke sath voh bhi chali jati hai,
ujhra chaman hai mera banjhar hai es ki zameen,
yeh inaam mile hain teri mohabbat mein hameen,
jab kabhi verane ko aabaad karna chahte hain
le ke tera naam jee bhar ke ro lete hain,
mujhe gawara hain yeh tanhaiyaan yeh veraaniyaan,
mere mehboob tune diye hain bare kam khazane hameen,
teri yaadoon ko dil mein basa ke palkoon pe motiyun ko saja ke,
jee rahe hain MAHEK teri yaadoon ko apna bana ke.
Har pal jisko chaha tha,
Har pal jisko socha tha,
Mere haal se wo waqif tha,
Meri har sham se wo waqif tha,
Na Jane phir Q muJko chor dia,
Tanha mera dil tor dia
Is bechaini k alam mai
Jab mai ye pucha karta hun
Phir tumne Aisa Q kia
Ik pyar bhara dil tor dia
Q Rukh apna tum ne mor dia
MuJhe tahna is Jahan mai chor dia,
Na mar sakun na kuch bol sakun,
Mere LABOn ko Aisa Jord dia,
Bus yun hi usi se kehta hun,
Phr tumne Aisa Q kia.?
Phr tumne Aisa Q kia?
Tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon ,,,
teri udasion ko mita ke teri her shaam nikhaar doon

terii aankhon main chhupi khizan mere dil pe aser kar gaee
tere wajood ko mehka de jo tere LABOn ko vo bahaar doon

terii ik muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta mager
jo milay tujhe khushi ager main apni jaan bhi waar doon

aagaya hai jo hijir ka daur tere mere dermiyan
jo milain mujhe fursatain yeh waqt ka qarz utaar doon

tunhaiyon ke tufaan se jo bikher gae hain sabhi
jo kahay tu ager aa teri her zulf ko sanwaar doon

meri ik nigah bhi hai terii ik nazer ki muntazir
jo karay tu nazer idher tujhe duain beshumaar doon

na dhan se,daulat se na duniya se koi wasta mera
chale jo bas ager tere sang zindagii guzaar doon........!