Khab SMS Messages243 messages

Mena da dilbar che me khyaluno k razi

Da naz khanda Khabare me yaduno k razi

Kaash che kala kala me pa wekha hum ledaly

Da senga che ASHNA rata khobuno k razi.
Be-Pardgi ka Aalam
Main kya Bataon

Zehrila Saanp hai ye
Ummat ko das na jaey

Har simt dekh lo ab Uryani, Be_Hayaai

Ghairon se hai muhabbat
Apnon se Bewafai

Behnon k Mashghalon se bhai bhi be_Khabar hen

Poochhen tou kis tarha Wo
Jab khud idhar udhar hen

Beti bhi LaadLi hai
Parda karay tou kesay

Aangan me apne ghar k
Jee ko bharay to kesay

Ye Aqal hai maghrib ki
or kaam Himaqat k

Lo Ho gaey Numaaya
Aasaar Qayamat k!
Palkon pe dastak dene koi khwab ane wala hai.
Khabar mili wo khwab sach hone wala hai.
me ne kaha oski palkon pe ja.
jo dost mera abhi sone wala hai. Good Night
Abhi tum dil Ko rehne do Abhi chup chap sehne do ..Mohabat ab nahi ho gi . abhi Ashkoo k eendhan main tumharey Khab jalte han .. mohabbat ab nahi ho gi ye kuch din baad mein ho gi ... jab ye din guzer jayen ge ye unn ki yaad main ho gi ...mohabbat ab nahi ho gi
Hum nazroon sy dor hain ankhon sy nahi.hum Khabon sy dor hain khyalon sy nahi.hum dil sy dor hain dharknon sy nahi.hum ap sy dor hain ap ke yadon sy ni.
Teray galay main jo banhon ko daal rakhtay hain
Tujhey manaanay kaa kaisaa kamaal rakhtay hain

Tujhey Khabar hay tujhey soochnay ki khatir hum
Bohat say kaam mukaddar pay taal rakhtay hain

Koee bhee faislaa hum sooch kar naheen kartay
Tumhaaray naam kaa sikka uchaal rakhtay hain
Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay
Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay

Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay

Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay

Mai Kia Hon, Kis Jagah Hon, Mujhay Kuch Khabar Nahi
Hain Aap Kitnay Duur Zara Sada Dijiye Mujhay

Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash''heer Jaa Baja
Mai Maanta Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhay

Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida
Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay

Jaltey Dinon Mei Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Mei Laga Dijiyey Mujhay

Yun To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Likin Sulag Uthoon To Hawa dijiye Mujhay
abhi tu ishq mai aisa bhi hal hona hay
k ashk rokna tum say muhal huna hay


har aikh lab pay hain mere wafa k afsanay
teray sitam ko abhi la-zwal hona hay


yaja ka khara hain lakin bahar ki rut main
yah tay hay ab k hamain bhi nihal hona hay


tumhain Khabar hi nahin tum tu lout jaou gay
tumharay hijar mai lamha bhi saal huna hay


hamari rooh pay jab bhi azab utrain gay
tumhari yad ko iss dil ki dhal huna hay


kabhi tu roay ga woh kisi ki bahon main
kabhi tu us ki hansi ko zawal huna hay


milain gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushian
bas yah intazar hay kab yah kamal huna hay


har aik shakhs chlay ga hamri rahoon per
muhabbaton mai hamain woh bay misal hona hay
*/* CHUPAYA KARO */*

DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO
HUM SE CHAHAT NA ZIYADA JATAYA KARO
DOOR RAHTE HO KION PAAS AAYA KARO

TERA JALWA KABHI HUM NE DEKHA NAHIN
KABHI CHEHRA HUMEN TO DIKHAYA KARO
ROZ GHERON KI MAJLIS MAIN JATE HO TUM
KABHI TO APNO KI MAHFIL SAJAYA KARO

HUM RANJEEDA BHI HAIN NEEM DEEDA BHI
AA KE DIL TUM HAMARA BEHLAYA KARO
TERI MAJBOORION KI KhabAR HAI MUJHE
BAAT BAAT PER KASMEIN NA KHAYA KARO

TERE WAADE PE HUM NE BHAROOSA KIA
KUCH TO ULFAT KA TUM BHI HAQ NIBHAYA KARO
CHAHNE WALE KI CHAHAT PE KAR LO YAKEEN
ROSHNI MAIN DIYE NA JALAYA KARO

HUM BHI HUM RAAZ HAIN TUM BHI HUM RAAZ HO
DIL KI BAAT HUM SE NA CHUPAYA KARO. . .
Wo baat Kyun Karun JisKi Khabar hi na ho,

Woh Dua Kyun Karun Jiska Asar hi na ho,

Kaise Keh du Tujhe Lag Jaye Meri Umar,

Kya pata Agle Pal Meri Umaar hi Na ho.
chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
Kahin Ek Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khoobsurat Magar Sanwli Si
Mujhay Apnay Khabon Ki Banhon Main Pa Kar
Kabhi Neend Main Muskurati Tu Ho Gi
Us Hi Neend Main Kass Masati Tu Ho Gi
Sirhanay Say Takkya Giraati Tu Ho Gi
Chalo Khatt Lekhain Us Nay Socha Tu Ho Ga
Qalam Hath Say Chutta Tu Ho Ga
Unglianan Qalam Phir Othati Tu Hoon Gi
Dupatta Kahein Sir Say Sirak Jata Tu Ho Ga
Kai Khowab Seenay Ki Khamoshyon Main
Meri Yaad Say Jhanjhanati Tu Hooon Gi
Kahin K Kahin Paoon Partay Tu Hoon Gi
Kabhi Iqrar Mera Yaad Aya Tu Ho Ga
Kahin Ek Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khoobsurat Magar Sanwli Si