Insaan SMS Messages112 messages

Is pyari si subah mein, pyare se mausam mein, pyari si koyal
ki awaaz, pyari si hawaaon mein, sabse pyare Insaan aur sabse
pyare dost ko Good Morning!
Pyari si morning mein, pyare se mausam mein, pyari si koyal ki awaaz, pyari si hawaon mein, sabse pyare Insaan ko Good Morning!
Woh Insaan hi kya jo tere hotel ke harche utha na sakay......
mein chuka kar saare bill zinda rahoon khuda na kare...!!!
/-> AFSOS MAT KARO <-/

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo
Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo
Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo
Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo
Bekaar jee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo
Insaan ki zindagi mein justajoo ka koi wajood na hota.....
Agar Insaan key mukadar mian sirf khushian hoti..
To umeed kun karta, hasratien kis ki udhori rehti..
Agar kooshish ka makam na hota...
sub mukmal ho jatey to phir udhora kun rehta...
Aisa hota.....
To sub ka mukadar phool hotey...phir khantoo ko kun pochta....
Phir kis ki kahstian bhanwar mein bhatkatien.....
Sub ko sathi mil jatey to phir tanhian kis ka mukadar banti.....
Darya Wafaon Ka kabhi rukta nahi
Pyar main Insaan kabhi jhukta nahi
khamosh hain hum un ki khushi k liye aur
wo samajh bethe hain K Dil Humara dukhta nahi
mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo Insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta
Apno se juda ho kar, kaun zinda rahta hai,
Sanse chalti hain magar dil,
Hamesha zindagi se khafa rahta hai,
Jo dil mein ho wo dost,
Durr ho kar bhi kareeb hote hain,
Mere yaar Insaan umeedon par hi zinda rahta hai.
Aaj ke daur mein aye dost yeh manzar kyun hai
Zakhm har ser pe har haath mein patthar kyun hai


Jab haqeeqat hai ke har zarrey mein Tu rehta hai
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyun hai


Apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
Apni nazaron mein har Insaan sikandar kyun hai


Zindagi jeeney ke qaabil hi nahin abb zakhmi
Werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai
Dil ke bazaar main daulat nahi dekhi jati,
Pyar ho jaye to surat nahi dekhi jati,
Ek hi Insaan pe luta do sab kuch,
Kyonki pasand ho cheez to keemat nahi dekhi jati…..
Badal sa gaya kuch, na rahe ab wo hum
Kho gaye khayal, toot gayi hai qalam

Chalte chalte liya waqt ne yoon mod
Ja rahe the kahin, chal diye kahin hum

Na kehne ko kuch, na sunne ki khwahish
Har jazbe se khaali jaise ab hue hum

Askhon ka samundar ufan raha hai dil main
Khusk hain lekin, nahin hain aankhen nam

Kho rahe hain purane, jud rahe naye rishte
Waqt de raha hai ek naye Insaan ko janam !
Lagzisho’n Se Mara Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dono Insaan Hain Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Tu Mujhe Aur Main Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi Main BHi Nahi

Maslihat Ne Ker Dia Dono Main Paida Ikhtilaaf
Werna Fitrat Ka Bur Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Mukhtalif Simto’n Main Dono Ka Safar Jari Raha
Ek Lamhe Ko Ruka Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Chahate Dono Bohat Hain Ek Doosre Ko Magar
Ye Haqeeqat Maanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi