Hum safar SMS Messages3 messages

Bay zubaan logon ko
Baqarar ankhoon ko
Badnaseeb qadmoon ko
Jis tarf bhi lay jain
Rastoon ki marzi hay

Bay nishan jazeeron per
Bad guman shehroon main
Bay zubaan musafir ko
Jis tarf bhi bhatka dain
Rastoon ki marzi hay

Ajnabi koi laa kr
Hum safar bana dalain
Saath chalny waloon ki
Raakh bhi urra dalain
Ye musaaftain sari
Khaak main milla dalain
Rastoon ki marzi hay

Rook lain ya barhnay dain
Thaam lain ya girnay dain
Wasal ki lakiroon ko
Tor dain ya milnay dain
Rastoon ki marzi hay
Hum safar ban key hum saath hain
aaj bhi
phir bhi hai ye safar ajanabi ajanabi

Raah bhi ajanabi mord bhi ajanabi
jayein ham kidhar ajanabi ajanabi

Zindagi ho gai hai sulagata safar
door tak aa rahaa hai dhuaan saa nazar

Jaane kis mord par kho gai har Khushii dey key dard-e-jigar ajanabi ajanabi

Hum ney chun chun ke tinke banaaya tha jo

aashiyaan hasaraton se sajaayaa tha jo

Hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhi lag raha hai magar ajanabi ajanabi

Kis ko maalom tha din ye bhi aayeinge mausamon ki tarhan dil bhi bada jaayeinge

Din hua ajanabi raat bhi ajanabi
har ghari har pahar ajanabi ajanabi
Mere Hum safar Kisi Roz tu
mere paas a mere ru ba ru

kisi roz sun meri guftagu
meri chahato me base huye

mere ansuon se bhare huye
meri shab k lamhe shumaar kar

meri zindagi na azaab kar
woh lafz tere jo nayab hon

wohi lafz mere naam kar
mujhe leke tu kahin door chal

zara haath mera tham kar
mere hum saafr kisi roz tu

mere pas a mere ru ba ru
meri khawahishon ko umeed de

meri zindagi ko naveed de