Chokhat SMS Messages9 messages

Jinko Sooraj Meri Chokhat Se Mila Tha Yaaro,

Ab Woh Khairaat Mein Dete Hain Ujaalay Mujhko. . .*
Dil ki Chokhat pe jo deya jala rakha hai,

Tere anay ka imkan saja rakha hai.

Ruth jati ho to kuch or hasen lagti ho,

Hum ne ye soch k hi tumko aapna bana rakha hai
Phir kahain Dour sey ik baar sada do mujh ko,
meri tanhai ka ehsas dila do mujh ko
.
tum tou aftab ho tumhey meri zarorat kya hai,
main diya hoon kisi Chokhat pey jala do mujh ko
Shaam hotay hee woh Chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gee
Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab moharam k tarah eid manati ho gee
Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gee
Dil ki masoom raggin khud he sulagti ho gee
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gee
Roop day kar mujhay is mein shezaday ka
Apnay bachon ko kahani woh sunati hogee
Meri Palkon Ki Chokhat Pey Basney Wale,

Shab-E-Tanhai Ke Mausam Main Barasne Wale,

Mere Aansu Mere Ehad-E-Wafa Ko Nibha Dete Hai,

Ik Tere Siwa Har Shakhs Ko Bhula Dete Hain.. !!
Jinko Suraj meri Chokhat sAy Mila krta ThA''Ali''

Aaj wo khAirAAt mAin dAitAy hAin UjAlAy mujh Ko
Apna aap
Aj wo muddat baad aaye
Bus yeh kehnay
Jaana
Meray saray khat lota do
Sub tasveerein kalam
Kitabein
Wapis kar do saray tohfay
Mujh say sab kuch magnay wali
Jatay jatay
Meray kamray ki Chokhat par
Chorr gae hai
“APNA AAP”
JAB Beti Chokhat paar kray,
Aur izzat ka byopaar kray,
JAB Baap ki izzat khojaye,
JAB qaum ki ghairat so jaye,
JAB Bhai ko tanay miltay hon,
JAB Behnon k dil jalty hon,
JAB mauon ki nazren jhuk jaien,
JAB saans labon pay ruk jaien,
JAB sharm-O-haya ka aameza,
JAB aik kanwari doshiza
JAB bayshermi ko apna lay
JAB khud ko zillat myn dhalay,
JAB ghair k senay lag jaye,
Aur apna aap ganwa aye,
To aisi halat ko logo,

Hum log MUHABAT kehtay hain ??? ;->
Wo akhri shab december ki,
Darwazy ki Chokhat pay
Muntazir tumhari thi,
Nigah me uska chehra tha,
Subah say sham thera tha,
Magar sham dhaltay hi
Mere aanso nikal aaye,
Bohut Na umeed ho kar
Main darwazay say palat aai,
K itnay me awaz aayii, Ulfatoun ki raahon me,
Apni Mohabbat k,
Muntazir nahi hotay, Mohabbat khud hi aati hai, Mohabbat khud hi jati hai, Main jhapti foran Chokhat par,
Magr Wo Wehm Mera tha,
Baras pichlay December me,Tu mujhsay milnay aya tha,
Na pocho mujsay gyara(11) mah
kesay maine bitaaye hain,
Hr ik lamha ye socha tha,
Decembr kab tu aayega,
Mujhe milnay Wo aayega... |''!''|