Ankhoo SMS Messages79 messages

*~*~*TUM NE POOCHA*~*~*

tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee Ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay to,
muskura ker anjan ban jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!
Chor k Tum ko janay wala

Ik Din looat k aye to

Yaad ka Anchal Khushboo ban kar

Phir Tum per Lehraaye to

Koi Purana Zakhm Kuraiday

Meetha Dard Jagaaye to

Guzray Pal ka Dilkash Sapna

Ankhoon mein bas jaye to

Dil per Zakhm laganay wala

Marhum lay kar aye to

Maaan ka Sheesha tornay wala

Phir se Jornay aye to

Dhoop mein chor k janay wala

Saya ban k aye to

Dil se Dil ki raaye na poochoo

Dil pagal ho jaye to

Chor k Tum ko janay wala

ik din loat k aye to?????
Us K Hathon Main Hina,Paon Main Payal Hogi.Aik Dewar Magar Beach Main Hayal Hogi.Us K Jalwoon K Bohat Pass Main Honga.Lakin Wo Kisi Or Ki Taqdeer Ka Hasil Hogi.Surkh Kaproon Say Sajay Tar Na Mery Hongy.Us Ki AAnkhoon Main Mery Pyar Ki Jhilmil Hogi.Jaty Jaty Wo Mujy Pyar Say Dakhy Gi Jab.Roty Roty Wo Meri RohMain Shamil Ho Gi.Mujy Say Wo Dor Bohat Dor Chali Jayee Gi.Ya Kaahani Bhi Sara-e-Bazam Mukamil Hogi.
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki AAnkhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga.
kya khabar thi wo humien daagh_e_judai deingey
hum zamaney mein shab_e_gham ki duhai deingey

pehley tum apni wafaoon ko koi rang toh doh
khud naye rastey Ankhoon ko dikhai deingey

apne andar ke gali kuchoon se guzro aik din
tere kanoon ke shor sunai deingey

hum badal deingey baharoon ke puraney andaaz
perhan ab ke har aik gull ko hinai deingey

apney mazi ko na dekhiengey palat kar
gham ki zanjeer se iss dil ko rehai deingey!!
teri yaad mein jeetey jeetey aik zamana beet gaya
hum ko apney app se bichrey zamana beet gaya

pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha
pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

Ankhoon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha
Ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya

jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha
phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gaya

kon suney faryaad kissi ki kon kissi ka dard sahe
apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!
mein nhin khud ke liye hoon mein zamaney ke liye
khud ko zakham de de kar auroon ko hasaney ke liye

hum ne kya kya na kiya tere chaley janey ke baad
tujeh hi yaad kiya tujh ko bhulaney ke liye

ye khiza ye andhere ye viraney sa safar
hum toh nikley the kahin aur hi janey ke liye

ayina dekh ke heraan sa ho jata hoon
khud ko hi bhool gaya app ko paney ke liye

yun raqeeboon se hans hans ke kyun miltey ho
teri berukhi hi bahot hti dil ko jalaney ke liye

ye jo chalakta hai Ankhoon se ise pani na kaho
ye toh moti hai mere pya rko sajaney ke liye!!
dil zakham zakham hai toh ankhein be ashqbaar hein
kitna fareb khaye mohabat o pyar mein

ankhein dasht dasht hein dil bi dukha houa
guzra tha aj wo be humein dekhta houa

hontoon pe muskurahat Ankhoon mein hai nami si
wo samney hai phir be hai kuch kami si

tum moonh se na bolo ankhein toh batati hein
kya jee mein tumarey hai hum khoob samajtey hein

ankhein hazar sabar ki koshish ke bawjood
ruk ruk ke baar baar barasti hein ajj bi

khushk Ankhoon ki lakeerein pata deti hein
karwan_e_gham ka isi rah se guzr hoga!!.
qismat ruk gayi dil ke taar toot gaye
wo be rooth gaye sapney be toot gaye
khazaney mein the sirf do ansoo
jub app ki yaad ayi wo be loot gaye

zuban khamosh hai Ankhoon mein nami hai
yunhi bus ik dastan_e_zindagi hai
bharney ko toh har zakham bhar jayega
par kesey bharegi wo jagah jahan app ki kami hai!!
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati AAnkhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Ek umer ke baad uss ko dekha !
AAnkhoon mein sawaal thay hazarooon
Hontoon pe magar wohi tabbassum !
Chehrey pe likhi hui udaasi
Awaaz mein gunjti judaiiiii
Baanhein theen magar wasaley samaa !
najaney kyoon guzrey zamaney yaad atey hein
kyoon ye puraney zakham phir mujhe statey hein

har chehrey mein chupa hai chehra un ka
nazar milaney se hum issi liye katratey hein

kub hoti hai rahat dil ko iss tarah se
ke tera naam le kar hum kissi aur ko bulatey hein

yoon toh roney ko umar de gaya wo
lekin gham oss ke sehney se hum kub ghabratey hein

ghar se be ghar kiya tha jin logoon ne humein
suna hai phir mujhe wapas bulatey hein

apney naseeb mein hai aik baar wisaal un ka
mere naseeb issi liye tujhe baar baar azmatey hein

in Ankhoon ko nhin ab naseeb unein dekhna
kya karein wo mere khwaboon mein aa jatey hein!!