Judge: Tum qabool karte ho k tumne kapre ki dukaan se 5 baar chori ki hai, to kia kiya churaya?
Chor: Janab ek saarhi.
Judge: lekin ek saarhi ke liye tumhe 5 baar chori karne ki kia zaroorat thi?
Chor: "4 baar meri biwi ko saari pasand nahi aayi thi...
Santa: Oye, ladki dekh, kitni sohni hai.
Bata: Mujhe to uska naam bhi pata hai.
Santa: Kya naam hai.
Banta: Mein bank gaya tha, vahan yeh ek counter pe baithi thi, name plate pe likha tha: Chaalu Khata
Ek sheikh doctor k pass gaya or bola
k ghar ja ker mareez check karnay k kitnay pesay logay?
Doctor:300 rs.
Sheikh:chlain doctor sahab.
Ghar puhanchay to docor ne pocha k mareez kahan hai?
Sheikh: mareez koi nahi hai,
Taxi wala 500 mang raha tha