Bayaan kar

Bayaan kar
Bayaan kar un say mera haal-e-dil....¡ Aye 'hawa''

mera dost yeh na samjhay k mujay us ki yaad nahi aati
  

Dec, 24 2013     106 chars (1 sms)     2987 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dhoonda karogay Ek Roz Mere Khaloos ko Aey Dost....



So Jaonga Kisi Roz Main Zameen Oorh Kar.
Tum Raah Main Esay Kharay To Ho Gaey Ho,


Kis Kis Ko Btao Gay K Ghar Kuo Nahi Jatey
usne sub kuch jaan k bhi mujhe maaf kar daya..

meri maa ne matha choom kar aaj phir mujhe sula daya..
May kasay us shaks ko rula saktA hon Dosto..

Jis shaks ko mai ne khud ro ro kr paya tha...
Ishq Ko Bohat Badnaam Likha
Waqt Ko Humne Ghulam Likha
Rait Pe Tera Naam LikH Ker
Apni Mohabbat Ka Anjam Likha
Neno Mein AIk Deep Jala Ker
Isko Chirag-E-Benaam Likha
Iss Nazam Ka Mein ne APni
Unwan Gham Ki Sham Likha
Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad
Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad
Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad
Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad
Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad
Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad
Sook Ko Dadde Haya Milte Nahi ,

Yahan Nigahen Asane Se Milte Nahi,

Ye Bhi Hasrat Ka Kya Sitam Hey,

Ishq Se Husn Ko Dadde Jafa Milte Nahi
Shulah hun barakny ki guzarish nai karta
Such mun sy nikal jata ha kushish nai karta

Girti hui deevar ka hamdard hun lakin
Charty huy suraj ki parstish nai karta

Lahroo sy lara karta hun darya mai utar kar
Sahil pay khary ho k mai sazish nai karta

Har hall mai hush rahny ka fun ata ha muj ko
Marny ki dua jiny ki huahish nai karta

Hamdard_e_ahbab sy darta hun SaaMer
Mai zahm to rakhta hun nomaish nai karta
poochne aa gaye wo bhi mera haal k khamosh kayon hon...

jo shakhas meri hansi ko aik jhoot samjhta tha...
Parastish ki Tamana hy

magr Hai re majboori

SANAM jiss se Trasha jaye wo pathar nhi Milta.
Sheher-E-Khayal-O-Khuwab Mein Abad Ho Gaya,

Itna Usay Parha Ke Mujhay Yaad Ho Gaya,,

Main Aaj Tak Hoon Jis Ke Fareeb-O-Hisar Main,

Wo Aur Hi Kisi Ka Mere Bad Ho Gaya,,

Aandhi Hawa Ka Saath Nibhanay Ke Shok Mein,

Koi Tabah Hua'' Koi Barbad Ho Gaya,,

Apni To Sari Umr Aseeri Mein Kat Gayi,

Jis Ne Bhi Haar Maan Li'' Azaad Ho Gaya,,

Pehlay To Paaniyon Se Rahi Guftagu Meri,

Phir Youn Hua Ke Aaina Eejaad Ho Gaya . . . /
Apna gum leke kahi aur na jaya jaye,

Ghar me bikhri chizo ko ghar me he sajaya jaye.

Jin chirago ko hawao ka khauf nhi,

Uun chirago ko hawao se bachaya jaye