Unki mohabbat ka abhi nishan baki hai,
Naam labo par hai aur jaan baki hai,
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tassali hai ki shakl ki pehchan baki hai.
Nashili aankho se wo jab hamein dekhte hain, hum ghabraakar ankhen jhuka leite hain, kaun milaye unn ankhon se ankhen, suna hai wo ankho se apna bana leite hai..