kayi raaz

kayi raaz
kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate,
kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahi jaate,
kayi dil aise hote hain jo tode nahi jaate,
aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chore nahi jaate.
  

Jul, 21 2013     199 chars (2 sms)     2539 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Dard Jitna Hai Meri Nigaho Me,

Paoge Na Utna Kisi Ki Raho Me,

Bitani Chahte The Zindagi Jiski Baho Me,

Maut B Na Mil Payi Unki Panaho Me.
kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hy...


agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hy...?
Ek din inhi kabro mein meri laash hogi......
Khuda kasam us din to sabse udaas hogi.......
Phir tujhe mujhse milne ki aas hogi....
aur tu behad hataash hogi.......
Koi to Aisa Hua Kare Jo Mujhe Dekh Dekh Ker Jiya Kare
Jo Meri Khushi Main ho KhusH Sada
Mere Gham Main mera Dukh Saha Kare
Jo UthAy Kabhi Haath wo, Mere Liye Hi Dua Kare
Main bhi To Ek Kitaab Huun
Mujhee Chupke Chupke Parha Kre
Khuda Se Mujh Ko Wo Maang Le
Ho Dua Poori Khuda Kare
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
Tanhaio Ko Bhula Deti He Yaade Yaado Ki Kami Nahi Hoti
Chahat Ki Duniya Me Qadam To Rakho Chahne Walo Ki Kami Nahi Hoti
Aarzu-E-Safar ka Jub Hum nay Irada kia tha
Saath Chalnay ka Us nay B Waada kia tha

Kuch Us ko Raas na Aaeen Wafa ki Sadaqatein
Kuch Aitabar hum nay bhi Zada kia tha
Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai
jis ki AnkhAin mujhy AndAr se B Parh SaktI Hon.




Koi ChehrA To mere ShehAr mAin AisA La Dy.
raat phir dil nay chaaha tumhain bhulana
na chahtay huye b tum bht yaad aaye......

dil ye chaha k tum say dur chalay jayen hm
per teray kho janay k der say loy aaye...

na janay kiun ye dil iss baat pay atkaa hai
k teray siwaa na koi iss jeewan mein aaye..

tum ja chukay ho per dil ye kehta hai
kbi aisa b to hota hai
BOHT DUR JA K KOI LOT AAYE..........
Suno…!!!

Meri Aankhain
Khareedo Gay…??

(-_-)

Mujhay Ik
Khawab Ka
Taawaan Bharna Hai…
kisi ki yaad dil main hai koi ehsas baqi hai
badalte mausam ke darmiyan ek raz baqi hai

abhi main safar mein hoon mile gi manzil mujhe
magar in raston kay darmian ek sath baqi hai

kahin pe sham dhalti ha kahin raat hoti
abhi to chandni hai chand ki raat baqi hai

chale aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai magar aik saans baqi hai

umeed hai phir bhi mile ga wo hamain aik din
khuda par hai bharoosa,khuda ki baat baqi hai