is tarah sataya hai pareshaan kiya hai goya k muhabbat nahi ehasaan kiya hai socha tha k tum dosaron jaise nahi hoge tum ne bhi wahi kam meri jan kiya hai mushkil tha bohut mere liye tark-e-taalluq ye kam bhi tum ne mera asaan kiya hai
Kya kahu tumhe?
Khwab kahu to bikhar jaoge!
dil kahu to tut jaoge!
lo, tumhara naam zindigi rakh deti hu...
to maut se pehle hamara saath na chor paoge...!
Basher Key Roop Main Ek Dilruba Talasm Baney
Shafaq Main Dhoop Milayen Tu Us Ka Jism Baney
Woh Mojzaat Ki Had Tak Pohunch Gaya Hey Qateel
Hurf Koi Bhi Likhoon Usi Ka Ism Baney