Ghazal likhu k ishaar likhu

Ghazal likhu k ishaar likhu
Ghazal likhu k, ishaar likhu

Yehi tera andaz hai k pyaar likhu

Agar apni qismat likhne ka zara ikhtiyar ho mujhe To

apne naam k sath tujhe har baar likhu
  

Nov, 29 2011     162 chars (2 sms)     4615 views       Romantic

more Romantic SMS Messages

Kuchh na kisi se bolenge, tanhaaii mein ro lenge hum be-rahabaron ka kyaa, saath kisi ke ho lenge Khud to hue rusvaa lekin, tera bhaid na kholenge jeevan zahar bharaa saagar, kab tak amrit gholenge neend to kya aaegii ''Faraz'', maut aai to so lenge.....
Is bar mila to jee bhar ke cherein ge

Suna hay un ko gusse main lipat jane ki aadat hay
Never waste an opportunity 2 say ''''I love U'''' to someone u really like, coz it is not everyday u"ll meet the person who has the magic to let u fall in love.
Gulon ke beech tera chehra bada suhaana lagey
Chaandni raath mein chaand bhi ab puraana lagey
Shabnum bani sharaab teri must nigaahi ka hai asar
Husn tera hamein maikadey se judaa na lagey
Ghar baith ke peeney lagey jo hum teri nigaahon se
Soona soona zamaaney ka har maikhana lagey
Bijliyon se thi nafrat inhein aadtah aashiyaan jalaney ki
woh hans ke bijliyaan dil pe giraayein bhi to buraa na lagey
leliye ghum inkey tamaam hamein jo azeez they
ki aabaad sada ghumon se dil ka khazaana lagey
sambhaali hai khud kashti tofan-e-ghum mein
ki na-qudaa bhi ab ilyas ko na-qudaa na lagey
Ek teri yaadon ke siwa aur koi sahara nahin
Tujhey bhool ke zinda rahoon dil ko yeh gawara nahi
Ya khuda teri ibadat mein dil lagawoon kaisey
Yeh jaan bhi unki hai, dil bhi ab hamara nahi
Gunah humsey ho sar zad to khuda maaf karey
Qatha ho ishq mein is ka koi kaffara nahi
Loon kiska naam, kisney ujaada hai mujhey
Wafawon ney jaan baqshi hai, jafawon ne maara nahi
Meri udaasiyon mein khudaayi bhi hai shaamil
Chaand bhi na nikla, aasmaan pe koi taara nahi
Doobey hain ghumon mein tho raaz yeh paaya
Yeh woh samundar hai ilyas jiska koi kinaara nahi
Meri Ankhoon Sai Kabhi Utroo Dil Main,
Kai Main Dhadkan Main Basa Lon Tum Ko,
Jaan Sai Barh Kar Chahon Tumhain,
Apni Zindagi Hi Banna Loon Tum Ko,
Maray Khabon Main Sirf Tum Hi Baso,
Apni Neendon Main Saja Loon Tum Ko,
Loogon Ki Bhir Main Kho Na Jao Kahin,
Zamanay Sai Chalo Main Chura Lon Tum Ko,
Meri Tanhai Ko Zaroorat Hai Tumhari,
Gar Ijazat Ho Tu Yadon Main Bula Lon Tum Ko
"PYAAR"Ka pehlaLafz"P"


hai,




Lekin:




Agar"p"ko nikal do to


"YAAR"reh jata hai,




Aur agar





Aape jese"YAAR"




Ho to Zindagi se B
"PYAAR"


Ho Jata Hai............-;>
Kehte hain ki ISHQ main neend ud jaati hai
Koi humse bhi ishq kare
Khambhaqat neend bahut aati hai
Mujhe Har Kaam Se Pehle
Sehar Se Shaam Se Pehle
Yahi Aik Kaam Karna Hai
Tumara Naam Lena Hai,
Tumhe Ko Yaad Karna Hai

Ke Jab Bhe Dard Pena Hai
Ke Jab Bhe Zakham Sehna Hai
Gham -e-Duniya Se ghabra Kar
Mujhe Jab Jaam Lena Hai

Tumara Naam Lena Hai
Tum He Ko Yaad Karna Hai
Tumari Yaad Hai Dil Mein,
Aik Sayaad Hai Dil Mein
Khoi Barbad Hai Dil Mein,
issay Abad Karna Hai
Tumara Naam Lena Hai
Tumai Ko Yaad Karna Hai....

Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din
Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din

Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab
Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din

Phoolon ki tarha “husn” ki baarish mein naha loon
Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din

Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say
Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din

Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki
Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din

Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey
Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din

Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon
Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
Apni ankh ka Tara ya Chand kahoon,
Khud he batao kis
Naam se bulaon Tum ko,

Tum mere DIL ki Kharkan ban gaye ho
Phir batao kis tanrha Bhool jaon Tum ko?
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan