Jab Waqt ne Zindagi se Hisaab maanga,
To humne socha kya Khoya or kya Paaya,
Khone ka to Hisaab na mila,
Yaad raha to bas itna ke Dost ap jaisa bhi payaa
Hum woh nahi jo aap ko gum main chor dey.
Hum woh nahi jo aap se naata tor dey.
Hum to aap ke woh dost hai
jo agar aap ke sans band ho to apni sansay jor dey.
Karo karam ya sitam gila hum nahi karte,
pathro pe yakinan phul khila nahi karte,
mita do humko dil se magar ye khyal rahe,
hum jaise yaar jaldi mila nahi karte.