Jab-Jab tanhai ne unko sataya hoga,
tab-tab unko mera khayal aaya hoga,
ghum yeh nahi hai ki woh bhool gaye humko
ghum yeh hai ki Ro-Ro kar Bhulaya hoga.
barsat mein ham pani ban k baras jainge...
patjhar mein ham phol ban k jhar jainge...
kia hua jo aaj aap ko tang karte hain...
ek din aap ko bin bataye hi chalay jainge.
ye lamhey yun he guzar jaeen gey,
shayad ham dost yun he bichar jaeen ge,
naraaz na hona hamari shrartoon se,
ye hi tu pal hain jo kal yaad aeen gey...