ajj jab humne bandh ki apni annkhain
tou app sab say zyada khush nazar aye
agar yehi tarekia hai app ko khush dekhne ka
tou dua hai yeh ankhain hamesha k liye band ho jaye
Dekhi Hazaron Mehfilen, Par Ye Fiza Kuch Aur Hai, Jalwe Dekhe Hazaron Par Unki Adaa Kuch Aur Hai, Waise To Jaam Hain Hazaron, Par Unki Dosti Ka Nasha Kuch Aur Hai.!
Jab-Jab tanhai ne unko sataya hoga,
tab-tab unko mera khayal aaya hoga,
ghum yeh nahi hai ki woh bhool gaye humko
ghum yeh hai ki Ro-Ro kar Bhulaya hoga.
Tujhe chahne wale kum na hongein
waqt kay saath shayad hum na hongien
chahe kisi ko kitna bhi pyar dayna
lakin teri yaadon ke haqdar sirf hum hi hongein