You are not only the friend I found,
You are an angel who walks on the ground,
I could search my whole life through,
And I know I’ll not find another friend like U.
Dost milte hain yahaan dil ko dukhaane ke liye,
Ungaliyaan rakhte hain vo ham pe uthaane ke liye,
kyaa qusuur un kaa ye ikk rasm chalii aayi hai,
Tohamtein hotii hain duniyaa mein lagaane ke liye,
NaaKhudaa maan ke baithe hain jin kii kashtii mein,
Vo hamein maujon mein laaye thay Dubaane ke liye,
Vo havaaon kii tarah rukh ko
badal lete hain,
Ham nasiibon se lade thay jinhein paane ke liye,
Mustakil is jahan main tum bhi nahin.
Mustakil is jahan main hum bhi nahin.
Na musarrat hi mustakil hai yahan.
Mustakil is jahan main Ghum bhi nahin.
Phir adawat hi mustakil hi kyoun ho.
Aao kuch is tarha na ker dekhen.
In andheron main roshni ker lain.
Aao Dosti ker lain.
Aao Dosti ker lain.
Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna