Ussy Apne Rishtoon Ki Fikr Thi..Wo Jo Mera Waqif-e-haal
Tha..Wo Jo Uss Ki Subhe-e-urooj Thi..
Wohi Mera Waqt-e-zawal tha.. Meri Baat Kaise wo Manta,
Mera Dard Wo kaise jante,Wo tu khud Fana k Safar pe the..
Ussy Rokna Bhi Mahaal tha.. Kahan Jaoge Mujhe Choor kar,
Mein ye Poch poch kar Thak gaya,Wo jawab mujhe Na de Saka,
Wo tu Khud Sarapa Sawal the..Wo MILA jo Sadiyoon Ke Baad Bhi.
Mere Labb pe Koi GILA na Tha,Ussy Meri chup ne Rula Diya,
Jissy Guftagu pe Kamal Tha.....
Tere naam se apna naam jhoor loon aye sanam,
Teri sansoon se apni sanseen jhoor loon aye sanam,
Thaam loon hathoon mein hath yunhi umar bhar,
Zindagi ki sham ho jaye teri bahoon mein aye sanam...
Wafa ruswa nahe krna,
Suno aisa nahe krna,
Main pehlay he akela hon,
Mujhe tanha nahe krna,
Bohat massrrof ho jana,
Tou socha nahe krna,
Bharosa bi zaroori hy,
Magr sab ka nahe krna,
Muqadar phir muqadar hy,
Kabi daawa nahe krna,
Jo likha hy wo hona hy,
Kabhi shikwa nahe krna,
Meri takmeel tm se hy,
Mujhe aadha nahe krna,
Haqiqat hy milan apna,
Isay sapna nahe krna,
Humain tm yaad rehty ho,
Humain bhoola nahe krna
A loving relationship is one in which the loved one is free to be himself - to laugh with me, but never at me; to cry with me, but never because of me; to love life, to love himself, to love being loved. Such a relationship is based upon freedom and can never grow in a jealous heart