Beymaainay hotay hain woh lamhay jub tum paas nahi hotay
Lagtaa hai mujhay aisay ke zindagi tehr gayee ho jaisay
Aasman bhi beyrounuq sa lagtaa hai mujhay ke
Kisi nay chand taaron ki roshni chura lee ho jaisay
Aur kuch nahi chahiye ek muskan hi kafi hai,
dil main bas ek Tamanna hi kafi hai,
Tamanna hai ye ki aap sada kush raho ,
hamen yaad rakhna ye ehsaan hi kafi hai
Socha yad na karke thoda tadpaye unko,
kisi aur ka naam lekar jlaye unko.
Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.