Manzelin bhi us ki thi,
Rasta bhi us ka tha,
ek main ekala tha,
kafla bhi us ka tha,
saath saath chalnay ki soch bhi us ki thi,
phir rasta badalnay ka faisla bhi us ka tha,
aaj kyoun ekala hoon dil sawal karta hai,
log tou us ke thay kia khuda bhi us ka tha.