Shakh Se Toot Girne Ki Saza Do Mujhko
Aur Pathar Hoon To Raste Se Hata Do Mujhko
Jiski Misal Zamane Mein Na Mile
Mere Dost Aesi Wafa Do Mujhko
Chootay Na Kabhi Saath APna
Bas Kuch Aesi Koi Dua Do Mujhko
Jeetnay Ki Aadat Hamesa Se Hai Mujhe
Magar
Tum Jo Chaho To Hara Do Mujhko
Tu k simta tu rag-e-jaan ki hadoon mai simta,
Mian k bikhra tu simta na gaya tere baad,
Yeh alag baat hai k afshan na hua tujh per warna,
Kitna mehsos kiye tujhay main nay tere baad,
Kia MIla Usey Khoon-E-Tamana Ker K
Rakh Dia Hai Uss Ne Mujhe Shehar Mein Ruswa Ker K
Wo Samjh Sakta Nahi Ishq-O-Janoon Ki Batain
Mein Bata Sakta Nahi Un Ka Khulasa Ker K
Ain Mumkin Hai K Wo Iss Baat Pe Aamada Ho
Dekh Lete Hain Mohabbat Ka Taqaza Ker K
Ain Mumkin Hai Wo Nikal Aye Gahr Se Bahir
Dekh Lete Hain Naya Koi Tamasha Ker K
Wo Jo Aya To Aye Ga Lamha Bhar Ko
Lot jaye GA Koi Aur Bahana Ker K
Tumhe Kahabar Hee Nahi Tum jo Lot Jao ge
Tumhare Hijar Mein Lamha Hona Hai
Hamari Roh Pe Jab Bhi Aazab Utrain Ge
Tumhari Hee Mohabbat Ko Iss Dil Ki Dhaal Hona Hai
tere siva nahi jachta koi nigahoon mai
jo to kahe to bikhar jaaon teri raahon mai
nazar kaneez teri dil ghulaam hai tera
likha hua mere chehre pe naam hai tera.,