Dekh Lo Khawab Magr

Dekh Lo Khawab Magr
Dekh Lo Khawab Magr khawab ka Charcha Na Ho,

Log Jal Jain Gay suraj ki Tamana Na Karo

WaQat Ka Kia Hay kisi B pal Badal Sakta Hy,

Ho sake Tum Se To Tum Mujh Pe Bharosa Na Karo,

Kirchain Totay Howe Aks ki Chuban Jain Gi,

Aur Kuch Roz Abi Aina Dekha Na Kro,

Ajnabi Lagne Lage khud Tumhain Apnay Wajood,

Apne Din Raat ko itna Akela Na Kro,

Khwab Bachon k Khilono Ki Tarah Hotay Hain,

Khwab Dekha Na Kro

khwab Dikaya Na Kro
  

Jun, 03 2010     451 chars (3 sms)     3536 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kon Kitna Bara Fareebi Hai...

Aao Ek Sham...

Hum Mohabbat Se..

Apni Apni HatheeliYan Dekahin..
karta rahun gunah har mokay pay besabab.....



kitna RAHEEM hai WO ik tooba pe chor day ....!
main dhoop dhoop musafat main jis k sath raha"mohsin"

zara si chaon main us ne bhula diya hy mujhy...
Waqt Khush Khush Kaat-nay Ka Mashwra Daitey Huay,

Ro Para Wo Aap Mujh Ko Hosla Daitey Huay,

Be Gunahi Ki Saza Pe Mujh Ko To Rona Hi Tha,

Tum To Palken Ponch Laitey Faisla Daitey Huway,

Waqt e Rukhsat Un Ka Bhi Rumal Tha Bheega Hua,

Ro Paray Thay Hum Bhi Un Ko Raasta Daitay Huway!!
Ek Nazar Ki Aas Me
Khud Reh Jao Gy

Is Trha Mat Dkho Wrna
Dekhty Reh Jao Gy

Bila Jhijhak Keh Do
Aaj Apne Dil Ki Baat

Socho Gy Tou Zindagi
Bhar Sochty Reh Jao Gy
Sajde dil ke tarane bahut hai zindigi jeene ke bahane bahut hai
aap sada muskurate rehna apki muskurahat ke deewane bahut hai

Kia Uski Jagti AAnkhon Mein
Meri Yaad Se Pehli Udaasi Hai
Kia Wo bhi Meri Tarah Younhi
SHab Bher Jaga Kerta Hai
Kia WO b Saat-e-Rehmat Mein
Humain Rab Se Manga Kerta Hai
Agar Aesa nahi To Tuhi Bata
Ham Yaad Usey Kyun Kerte Hain
Wo Ham Ko Bhool Ker Khush Hai Agar
To hum Pal Pal Unke Liye Q Merte Hain
Na Tasweer Hai Tumhari Jo Deedar Kiya Jaye,
Na Tum Ho Pas Jo Pyar Kiya Jaye,
Yeh Kaisa Dard Diya Hai Tum Nay,
Na Kuch Kaha Jaye,
Na Tum Bin Raha Jaye.
nhi sajde kiye hum ne kabhi ghairon ki chokat pe..

hamen jitni zarorat ho KHUDA se maang lete hain..
dard kafi hai zindagi ke liye
maut zaroori hai zindagi ke liye
kaun marta hai kiske liye
hum toh zinda hai sirf app jaise dost ke liye
Ae Kaash ! Kahin Qudrat
Ka Ye Nizaam Hua Karey

Tujhy Dekhney k Siwa Na
Mujhy Koi Kaam Hua Karey

Charcha Ho Saary Shehar
Main Tere Mere Pyaar Ka

Mujh Pe Teri Chahat Ka
Ilzaam Hua Karey

Ishq Karo''n Aisa k Ho
Jao''n Main Deewana

Koi Poochy Aarzu Tou Zuban
Pe Tera Naam Hua Karey
Buhat hi Muddat kai baad kul jub
kitaab-e-maazi ko main nai khola

buhat sai chehrey nazar main utray
buhat sai naamoan pai dil paseeja

ik aisa safa bhi usmain aaya
likha hoa tu jo aansoan sai

kai jis ka unwaan HUMSAFAR tha
jo safa sub sai hi moatabar tha

kuch aur aansu phir us per tupkai
phir us sai aagay main phar na paaya

kitaab-e-maazi ko bund karkai
tumhari yaadoan main kho giya main

Agar Tu Milta Tu kaisa Hota
Inhi Khyaloan main so gya…