Maine kab chaha k

Maine kab chaha k
Maine kab chaha k wo zindagi mere nam ker de....

bus mujhey chaha itna sa kaam ker de...

her rooz kuch lamhe mujhey soocha kare...

kub kaha k meri yad me subh-o-shaam ker de...
  

Jun, 03 2010     186 chars (2 sms)     3048 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN

kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN
Usoolon pe jo aanch aaye to takraana zaroori hai
Agar zinda hain to zinda nazar aana zaroori hai

Nayi umro ki khudmukhtaariyon (arrogance) ko kaun samjhaaye
Kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai

Thake haare parinde jab basere ke liye lautein
Saleeka mand saakhon ka lachak jaana zaroori hai.

Saleeka hi nahin shaayad use mahsoos karne ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

Mere hothon pe apni pyaas rakha do aur phir socho
Ki iske baad bhi is duniya mein kuchh paana zaroori ha
Lamhay judai k bekarar kartè hain.

Haalat meray mujhay lachar kartè hain.

Ankhain meri parh lo kabhe.

Hum khud kaisay kahen k hum aap ko kitna yaad kartè hain.
Tum Ne Roti Hui Aankho''n Ko Hansaya Aksar

Is Se Barh Ker Bhi Koi Aur Ibadat Ho Gi . . . ! ! !
"Abhi Hasna Sikha Hi Tha,

Ki Rulane Wale Bhi Aa Gaye"

"Duniya Walo Ki Mohabbat To Dekho,

Abhi Hum Thik Se Mare Bhi Nahi

Or Jalane Wale Bhi Aa Gaye....."
Agar didaar ki talab ho,

to nazrein jamaaye rakh!

Parda ho ya nakaab ho,

sarkata zaroor hai!
Usay mere marny
ki khabar na dena
<==MOHSIN==>

k agar wo ro para
to ye dil
phir se Dhark uthay ga.
Ab un say gila kya karna is jahaan mein,
"GALIB",,,


Shayad hum he unki yaad k qabil nahi rahe......
MUJHE YAAD KAR ....MUJHEY YAAD AA!!

koi mujh ko aise daleel de
k mei toot kar tere naqsh
ankh ki putlio-on se mita sako
koi mujh ko aise daleel de
k mian dil se teri
rfaqatoo ko bhula sako
koi mujh ko aise daleel de
k main umar bhar
teri yad ka koi jashan b
na mana sako
ager aise koi daleel hai
tu phir azma
jo nahi tu phir
MUJHE YAAD KAR ....MUJHEY YAAD AA
MUJHE YAAD KAR ....MUJHEY YAAD AA
Manzilain un ko
mila karti hain
jin ka sheva ho
faraib...


Hum ne to
Daastaan-e
sadaaqat main
luta dee
zindagi apni..
Na.. Chaho Kisi Ko Itna Ki,
Chahat Tumhari Majburi Ban Jaye
Chaho.. Kisi Ko Itna,
Tumhara Pyaar Uske Liya
Zaruri Ban Jaye..
Raat sunti rhi mai sunati rhi,

Dard ki dastaan mai batati rhi,

Log,logoon se chahat nibhatay rahay,

Ik wo tha,jo maira dil jalata raha.