Tum ne Chaha he na

Tum ne Chaha he na
Tum ne Chaha he na tha,Warna Halaat Badal sakte theY,

Hmari Ankhon k Yeh Aanso kisi Aur ki Ankhon se nikal Sakte theY,


Tum To rahi Jheel k Paani ki Tarah,

DarYa Banti To Door Nikal sakte TheY.
  

Jun, 03 2010     203 chars (2 sms)     2865 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sochta Hoon Jab Bhi Tumhare Bare Main
Aksar Yadd Ati Hain Tumhari Ankhaian

Wo Gehre Hare Samnder Jaisi
Koi Raz Chupai Tumhari Ankhain

Khamosh Rehtain Hain Lab Ye Tumhare
Par Sab Kuch Kehti Hai Tumhari Ankhain
Is raaz_e_muhabbat ko aam nahi krna,

chahat k jazbon ko badnam nahi krna,

tum JAAN ho meri bus itna samajh lo,

meray in lafzon ko neelam nahi krna.....
Kisi aesy hi mosam men k jab barish bhari raten hamen sony na deti

theen koi masoom si yaden hamen rony na deti theen kisi k anbereen gasoo hamara jab sahara thy

kisi ki chashm e purnam ka kabhi ham bhi sitara thy kisi ki narm o nazuk si hansi k wasty yaro hamen dukh bhi gawara thy kisi aesy hi alam men

kisi aesy hi mosam men shab e hijran chali ai mery dil ko mohabat ki tapish se ashna kar k mujhy mujh se juda kar k shab e hijran ye kehti

hy kisi aesy hi mosam men koi bhi ajnabi dekho usi se dil laga lena khalish dard e mohabat ki galy mil kar mita lena kisi aesy hi mosam men,

meri aur uski ankhein

kitni milti julti hain

ik jaisee rengut walee hain

farq hai to bus itna sa

meri aankhaon mein

rung hai uska

uski aankhain khalee hain!!
Socha Tha Tujhy
Tuut k Chahain Gy
Bohat Hum ...

Chaha Bhi Bohat
Jaana''n Aur Tuutey Bhi
Bohat Hum ... !!!
ye udaas chehra ye ankhon main nami hai,,,,

mujhy aisa us ki mohabt ne kr dia....
Udaasiyan Badi Pathjhar ki tarha Chayi thi,

Kisi ki Yaad se Dil mein Bahar le aaye …!!!
Kissi Roz Shaam Ke Wakt
Sooraj Ke Aaram Ke Wakt..

Mil Jaye Sath Tera
Hath Mein Le Ker Hath Tera..

Door Kahein Tanhai Mein
Dunya Se Judai Mein..

Apne Sang Bithaoon Tujhe
Dil Ka Haal Sunaoon Tujhe..

Teri Izzat Ehtraam Karun
Tere Hathon Ki Lakeeron Mein
Talash Apna Naam Karun..

Aao Ek Irrada Karein
Phir Milne Ka Wada Karein..

Kissi Roz Shaam Ke Wakt
Sooraj Ke Aaraam Ke Wakt..!!
na shikayatein na gila kare. . .

koi esa shaksh howa kary. .jo meray leeye hi saja klary . .

kabhi royee wo baypanah. .kabhi bay tahasha udaas ho . .

kabhi chupke chupke se dabay qadam . .meray pehcay akar hansa kary.

meri qurbatein meri chahatien. .koi faryad kary qadam qadam . .

main taveeel safar may hoon agar. .meri wapsi ki dua kare. .
zindagi k kisi mor per khu ko tanha na samjhna,me tere sath hun apne se juda na samjhna,me tujhse jan se badh kar pyar karta hun,meri is muhabat ko bura na samjhna,tum phulon ki tarah khubsurat ho masoom ho,dekho meri is tareef ko bejaan na samjhna,umar bher tera sath dene ka wada kia he,zindagi ne agar sath na dia to bewafa na samjha,ab b tune mere pyar ko thukraya sanam,ise mera muaddar jan na,apni khata na samajhna..
Waqt_E_Gurbat main jab B koi mushkal muqam Aya

Na to koi GairoN Ny madad nA Apna koi kaam Aya
aesi berbadi na kbhi dekhi ho gi tm ne
na koi raakh, na shola, na dhuan sham ke bad