Phir Se Rog Lagao Tum

Phir Se Rog Lagao Tum
Phir Se Rog Lagao Tum
Mujhse Rabt Berhao Tum
Kese Sab Kuch Bhoole Ho
Mujhko B Samjhao Tum
Jese Barish Sawan Ki
Ek Din Aisy Aao Tum
Mein Ne Jee Bher Rona Hai
Mujko Khuwab Dikhao Tum
Bohat Kuch Ho Chuka Sahib
AB Mere Ho B jao Tum
  

Jun, 02 2010     237 chars (2 sms)     3118 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kaun rakhta hai yaad naamo ko,

Log chehere ko bhool jatey hain,

Tum samundr ki baat krtay ho,

Log AANKHON mein doob jatey hain.....
Guzray Waqat Ko Bhula Dena Bhe Aasaan Nahe Hota
Ghamon Ko Hansi Men Chupa Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
Zaruri Nahe Ke Poori Ho Har Khahish Lekin
Apni Khahishon Ko Daba Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
Maana Ke Tootey Huey Phoolon Say Khushboo Nahe Aati
Magar Unhen Kitabon Men Sajaa Lena Bhe Asan Nahe Hota
Bol Na Bol Ay Jane Wale Sun To Le Diwano Ki
AB Nahi Dekhi Jati Hamse Ye Halat Armano Ki
Husn K Khilte Phool hamesha Bedardon K Hath Lage
Aur Chahat K matwalon Ko Dhool Mili Weerano Ki
Dil K Nazdeek Nazuk Jazbon Per Raaj Hai Sone Chandi Ka
Ye Duniya Kia Qemat Degi Sada Dil Insano Ki
Judayi uski kitni Ajeeb thi SAAQI,

Na safar k rahy na watan k rahy,

Tukry huwy jism k itny k,

Na kafan k rahy, na dafan k rahy!
Aapki yaad aaye to dil kya kare,

Yaad dil se na jaye to dil kya kare,

Socha tha sapno me mulaqat hogi,

Magar nind hi na aaye to hum kya kare
Woh Ishq jo hum se rooth geyya ab uss ka haal batayyen kiya
koi meher nahi koi qeher nahi phir sachha shayr sunayyen kiya
loog toot jatay hian aik gar bananay main / tumhain taras nahien ata hian basteyan jalanay main /har dharaktay pathar ko loog dill samjhtay hain/ umer beet jate hian dill ko dill bananay main
Dil ko hum samjha nahi saktay Dil wo bhi chahta hay
jo hum nahi chahtay Chal para hay pechay appkay Kam wo bhi karta
hay jo hum nahi kartay Samajh jata hay app kay aisharoo ko mehsoos
wo bhi karta jo hum nahi kartay
Be-khuloos logo’n se
Ijtinab karna hay

Mujhy apne rishto’n ka
Ehtisab karna hay

Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay

Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay
Is Kadar Hum Yaar Ko Manane Nikle
Uski Chahat Ke Hum Deewane Nikle
Jab Bhi Use Dil Ka Haal Batana Chaha
To Uske Hothon Se Waqt Na Hone Ke Bahane Nikle
Jab Badlon Ki Gehrai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Jab Zindagi Ki Sachai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Gulshano Gulistan Mai Jab Mere Qadam Paray
Har Phool Ki Ranai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Apne Mile Bohat Aur Mil Kar Woh Phir Bichar Gaye
Apno Ki Is Wafa Mai Dekha To Chehra Tera

Khoone Jigar Se Ki Hai Ye Dastan Maine Raqam
Aur Aisi Roshnai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Meri deewangi ko galatna samajhna,
maine chaha hai tumhe hadh se badhkar ,
meri zindagi se kabhi dur na jana,
maine paya hai tumhe kismat ki lakeeron se ladhkar