Bari Bechainii Basti

Bari Bechainii Basti
Bari Bechainii Basti Hai kabhi Milne Chale Aao
Ye Duniya Mujh Pe Hansti Hai Kabhi Milne Chale Aao
Koi B Pal nahi Guzara Jo Ho Teri Yaad Se Khali
Tanhai Mujhko Dasti Hai Kabhi Milne Chale Aao
Bari Muddat Guzar Giye Tera Didar Na Hua
Meri aankhain Tarasti Hain Kabhi Milne Chale Aao
  

Jun, 02 2010     286 chars (2 sms)     2779 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kisi Ko APne Aamaal Ka Hisab Kia Dete
Sawal sare Ghalat Thay jawab Kia Dete
Jo Ek Lafz Ki Khusbu ko Na Rakh Saka Mehfoz
Uske Haath Mein Sari Kitab Kia Dete
Bharam Rakh Lo Mohabbat Ka

Wafa Ki Shaan Ban Jao

Kisi Pe Jaan De Do

Ya Kisi Ki Jaan Ban jao

Tumhare Naam Se Pukarenge

Mjh Ko Jahan Wale

Main ban Jaon Fasana

Tum Unwan Ban Jao
Main Udaas Rasta Hoo Sham Ka

Mujhe Ahaton Kii Talash Hai

Ye Sitarey Sab Hain Bujhey Bujhey

Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai

Wo Jo Ek Darya Tha Aag Ka

Mere Raston Se Guzar Gaya

Mujhe Kab Se Rait K Shehar Me

Barishon Ki Talash Hai

Main Udaas Rasta Hoo Sham Ka
Tum Dhukoon K Sooz Ka

Mosamoon K Rog Ka

Dard Mat Saha Karo..

Udhas Mat Hua Karo..

Yeh Dard Hain Hayat K

Kuch Rang Kainat K

Kuch Dukh Ki Taiz Barishein

Kuch Phool Hain Nishat K

Tum Phool Bus Chunna Karo

Khaar Mat Chua Karo

Udhas Mat Hua Karo..

Udhas Mat Raha Karo..
Bolti hai DOSTI, chup rehta hai PYAR....

Hansati hai DOSTI Rulata hai PYAR

Milati hai DOSTI

Juda karta hai PYARPhir kyun DOSTI chor ke log kerte hain PYAR?
Uss k tou ang ang mein jalnéy lagey diyéé

Jaadoo hey maréy haath mein mujh ko pata na thaa
waqat bhi shayad insaan ki terha hai faraz.

hanste howe ata hai or roty howe guzer jata hai.
Jub to khush ho to zeest ka
Her lamha muskarata hai
Mari maan kay aangan ka
Her phool khil sa jata hai
Wo jo mud''dato''n sy
mila nahi

Main bhi dhoondny
main thaka nahi

Usay dhoonda mene
gali gali

Koi chorhi mene jaga nhi

Sab ny kaha usay bhool ja

Dil ny kaha wo bura nhi

Bhula duun usay main
bhi agar

Phir farq hum me
raha nahi

Milte nhi tou kia
hua

Mere dil se wo tou
juda nahi ...
tere sath chalna meri zindagi hai,
tere pyaar mein jalna meri zindagi hai ,
khushi ki koi ghaddi, ho ya gam ka koi pehlu,
tujhe he yaad karte rehna meri zindagi hai ,
tera naam marte dum tak meri zuban per rahe ga ,
tera he naam lete rehna meri zindagi hai,
teri muskrahat ne mujhe jeena sikha diya,
teri muskrahat hi to meri zindagi hai...........
masmiyat ka ye andaaz bhi mere mehboob ka hai"mohsin"

us ko tasveer mein bhi dekhon to palkein jhuka leta hai...,
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay