Tumein Khabar Hi

Tumein Khabar Hi
Tumein Khabar Hi Nahin K Koi Tooot Gaya


Mohabatton Ko Boht Payedar Kartay Huwey
  

Jun, 02 2010     86 chars (1 sms)     2255 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

jala rha hun apnay lahu sy dil k chrag..!

na jany kitni mohabbat hy roshni sy mujhy..!
Phir nazar se pila dijiye
Hosh mere uda dijiye
Chodiye dushmani ki ranjish
Ab zara muskura dijiye
Baat afsana ban jayegi
Is kadar mat hawa dijiye
Aaiye khul ke miliye gale
Sab takalluf hata dijiye
duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaaNd taaron kaa aaNchal usii kaa hissaa hai
koii jo duusaraa oDhe to duusaraa hii lage

nahiin hai mere muqaddar men raushanii na sahii
ye khiDakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke hansataa hai
main chaahataa huuN Khafaa ho to vo Khafaa hii lage
Kare woh pyaar shubha shaam zaruri to nahi
Har chahaat ka ho sahi Anjaam Zaruri to nahi

Pyaar to pyaar hai chahe chhup-chhup he kare,
Log Charche kare Saare-aam zaruri to nahi,
Wo Kia Gaya k
Raunaq-e-Dar-o-Deewar
Gaye Mohsin

Ek Shaks Le Gaya
Meri Dunya Samait Ker
Kya bataun ye qayamat kya hai,

Maine ghabra ke kaha rooth jana tera.

"Maut kehte hai kise", jab mujhse pucha,

Maine ankhe jhuka kar kaha chod jana tera.
ehsas na kar in jazbon ka,nazron se gira be-shak lekin,,

jeena bhi mujhy dushwar lagy,itna to nazar andaz na kar..
Roh ko hijr k kaanton sY guzaarY To sahi,


Dil koi GehrY Samandar main UtaarY To sahi,

Phir main ek Hansti hoi Subah laa kr don,

Raat wo merY Lye ro kr GuzaarY To sahi.
mujhy maloom hy tum mujhy ko bhool jaao gay lekin..

palat kar jab bhi aao gay mohabbat muntazir hogi..
teri surat se nhi malti kesi ki surat,

teri tasvir ko hum hathu me ley pharte hai.
Ab hum nay bhi unse naraz rehnay ki thaani hay.
Roz o Shab Umr e Rawaan Ki Bus Yeh Kahani hay.
Socha Hay k ab na kabhi Unko Yaad Ayengaya.
Masla TO yeh Hay kay Unko Kese Bhool Payengay.
AnDaz Fatah Ka Magar Chehre Pe weeerani hay.
Dil Hay toota hua Or ankhon se Behta paani hay.
Kehnay ko kehna Chahoon to kuch or boldoon.
is pyar ki kahani ko naya Mor Doon.
Phir bhi is dil ko abhi Awaaz lagani hay..

kia tum nay bhi hum se naraaz rehnay ki thaani hay?
Mujhe kinary ki kab tamana,
Tujhay hai darya k par jana, Biphartay darya ki surkh maujen bata rahi hen, Khiraj mangay ga tujh say darya
Jo meri mano to aisa kar lo,
mujhay sharik-safar bana lo,
Khiraj mangay jo tujh se darya
Mujhay bhanwar mein utaar jana.
Tera zaroori hai par jana................