Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana.
is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata
Yu yaad na karke saza na dijiye
Mohabbat hui hai ek baar,
naa humse ab ye hogi baar baar,
chale gaye ho tum per tumsa nazdeek aur nahin,
Kaise bhule tumko, bhulane ka hum-me zor nahin!