Jo nazaro se dur magar dil k pas ho,

Jo nazaro se dur magar dil k pas ho,
Jo nazaro se dur magar dil k pas ho,

Apne liye khas ho,

Sukh-dukh me jiska sath ho,

Dil jiska saaf ho,

Jaise ki hamare liye "AAP" ho.
  

Jun, 02 2010     145 chars (1 sms)     2909 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Vo bulian to kya tamasha ho
Ham na jaian to kya tamasha ho
Ye kinaroo sy khailny waly
Doob jaian to kya tamasha ho
Tumhe lakho ki bheed me pechanta hai koi,
din raat khuda se tumhe mangta hai koi,
tum khud se vakif nahi honge itne,
tumhe tumse bhi jyada janta hai koi.
Tumako Dekhaa To Ye Kayaal Aayaa
Zindagii Dhuup Tum Ghanaa Saayaa

Aaj Phir Dil Mai Ek Tamannaa Kii
Aaj Phir Dil Ko Hamane Samajhaayaa

Tum Chale Jaaoge To Sochenge
Hamane Kyaa Khoyaa, Hamane Kyaa Paayaa

Ham Jise Gunagunaa Nahiin Sakate
Vaqt Ne Aisaa Giit Kyuun Gaayaa... :(
Mujhay Hee Kyun Us Kii Prastish Say Roktay Hoo



Us Ko Bhii Too Kahoo Kay Woo Dewtaa Na Lagay
Soch ko apni le jao shikhar tak,

k uske aage sare sitare jhuk jaye,

na bnao apne safar ko kisi kashti ka mohtaz,

chalo is shaan se k tufan b jhuk jay
Yeh mere aansu jinhe koi pochne wala bhi nahi
- Koi aanchal enhe milta to sitare hote.
Wafao''n Main Meri Itna Asar To Aaye

Jise Dhondti Hai Nazar Wo Nazar To Aaye

Hum Ajayenge Palak Jhapkane Se Pehle

Ap Ne Yaad Kiya Yeh Khabar To Ayee
Tere yaadoon mein guzaare hue paloon ka agar koi hisaab hota,
Khuda ki kasam tab ye saara jahaan unn paloon se bhara pada hota.
PATA NAHI Q?

Khawb bikhar jate hain dhere dhere,

saray log bichar jate hain dhere dhere,

zabt karo to behtar hay warna,

ansoo zor pakar jate hain dhere dhere,

sab irada ker ke sath chalte hain phir,

raste badal jatay hain dhere dhere,

jitny pas hum kisi ke hote hain,

utne fasle barh jate hain dhere dhere,

MAGAR PATA NAHI Q?
Log badal jatay hay dhere dhere...
Mujh Ko Baatein Kab Aati Hain ?
Main To Bus Khamosh Sa Sha‘Ir
Ulfat Chahat Ke Rango Se
Dil Ki Khali Tasveero Me
Koi Mohabbat Likh Deta Hoon …
Aur Kabhi Deewar Se Lagkar
Koi Mohabbat Ro Deta Hoon …
Aur Kabhi Aankho Aankho Mein
Pather tha mager barf k galoon ki tarah tha...
Ek shakhs andhairoon mein ujaaloon ki tarah tha...
khawaboon ki tarah tha na khiyaloon ki tarah tha....
Woh ilm-e-riazi k sawaloon ki tarah tha...
uljha hua aisa keh kabhi hal ho na paiya...
Suljha hua aisa keh misaloon ki tarah tha....
Woh mil to giya tha mager apna hi muqadder....
Shatranj ki uljhi hoi chaaloon ki tarah tha....
ek pakiza muhabbat k talabgaar they hum
azma kr dekhty buhat wafadar they hum

humney b daman ma kushioon ko samaitna chaha
shayd isi khuwahish k gunahgar they hum