Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
Ye kabhi na socha tha tumse humari judaii hogi
Tumse dil lagane ki saza tum mujhe aise dogi
Hum to aapki wafa pe zinda the
Ya na pata tha aap sab se badi bewafaa hogi