Kitni Haseen..

Kitni Haseen..
Kitni Haseen... Koi
Khwab Si Lagti Hai
Jild Se Nikli Koi
Kitaab Si Lagti Hai !!!

zulfon Ko Jhatakti Hui
Jab Aati Hai Nahakar
Oas Mein Bheege Hue
Gulab Si Lagti Hai !!!

Nasha Chadh Jata Hai
Jise Dekh Bhar Lene Se
Waisi Hi... Koi
Tez Sharab Si Lagti Hai !!!

Chehre Pe Giri Latt Ko
Haathon Se Uthati Hai Jab
Har Kisi Ko Karti Hui
Aadaab Si Lagti Hai !!!

Jab Bhi Dekhun To Lage Hai
Naya-Naya Chehra
Kabhi Asaan To Kabhi Uljhe
Hisaab Si Lagti Hai !!!
  

Jun, 02 2010     473 chars (3 sms)     8915 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Keroungi Kia Jo Hogaye Mohabbat Mein Nakaaam??





Mujhe To Koi Aur Kaam Bhi Nahiii Ata
Purani jeans aur guitar …… Mohalle ki vo chhat …. Aur mere yaar
Vo raaton ko jaagna … Subah ghar jaan … Kood ke deewar
Vo cigaretee peena … Gali mein jaake .. Wo karna daanton ko
Ghadi ghadi saaf
Pahunchna college hamesha late ….Vo kehna sir ka “Get out from the class!”
Vo bahar jaake hamsha kehna …Yahan ka system …Hi hai kharaab
wo kehti hAy... TumhArAy sArAy khAwAb Q AdhorAy Hain


Main kehtA hon k meri jaan tum inhAin takmeel dAy Do.
us ne basya bhi tu apni aankhon main sagar.

roti tu beegh jata khushk hoti tu zakhum lagte..
"Na wajood apna, na rooh apni
Bas ik tamasha yeh zeest thehri
Na dil lagi main sakoon paya
Na aashqi main qarar paya
Na wasl lamhay hi raas aaye
Na firaaq hi ghum guzaar paaye
Ajab yeh chahat k marhalay hain
Na jeet paaye na haar paaye
Na hi yaadon ki dhund utri
Na dil k daaman ko jhaar paaye
Na aankhain khawabon ko dhoond paaien,
Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
Tum Kahty Ho

Main Tumahra Jeewaan Hoon

Tumhari Baat Bajja Hai

Lakin Sajna

Itna Bata Doo

Tumhare Jeewan Main

Main Kahan Hoon??
Aye Na agar Tumhe Yaad Hamari,

Hum Karenge Fariyad Tumhari.

Bewafa ho tum ye Na Kahenge Kisi se,

Kahenge Ki Shayad Kami Thi Wafa Me Hamari.
Ek dil mere dil ko zakhm de gaya,

zindagi bhar jine ki kasam de gaya,

lakho phulon me se ek phul chuna humne,

jo kaanton se gehri chuban de gaya...;->
Hichkiyan dila kr ye kesi uljhan mai dal rahe ho.
Ankhen bnd hain pher b nzr aa rahe ho..
km se km itna batado hmain...
yad kr rahe ho ya apni yad dila rahe ho..?
tum q badal gaye ho ye herat ki bat hy.

mohsin

tum ko to meri zat se gahra lgao tha,,,
Tum Bhi Mujhe Chaho Gay Ek Din Dekhna
Haan Pachtao Ge Ek Din Dekhna
Iss Ishq NE Mujhe Jalaya Hai
Tum Bhi Jal Jao Gay Dekhna
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai maen nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch